Dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
Baithey rahen tassawur-e-janaan kiye hue
''''''''''''''''''''''''''''' Yeh din raat yeh lamhy mujhy achy laghty hain
tumhien sochoon to sare silsily achy lagtay hain
bohat dour tak chalna phir wohi rahna
mujhy tum se tumhien tak fasily achy lagty hain
main samajhta hoon taqadus ko tamaddun ka faraib
tum rasoomat ko eeman banati kiun ho?
jab tumahin mujh say ziada hay zamanay ka khyal
phir meri yaad main yoon ashk bahaati kiun ho
Naya hai shehr, naye aasrey talash karoon
Tu kho gaya hai, kahan ab tujhe talash karoon
Merey wajood se shaid tera suragh miley
Main khud ko bhi terey wastey talash karoon
Hawa-e-taza mein phir jism-o-jaan basaney ka
Dareecha kholen keh hai waqt us ke aaney ka!
Kabhi kabhi woh humein be-sabab bhi milta hai
Asar hua nahi hai us per abhi zamaney ka!