Aap lout aao tho lout aaye har khushi meri,
Zindagi kabristan bani hai Aap k bigair,
Kash Aap samjh jaaye kaise dasti hain tanhaiyan,
Ek pal mein hazaron dard sehthi hoon Aap k bigair
Merey mizaj ka dushman meri gawahi de
Keh tera naam bhi leta hoon main dua ki tarah!
Hazar tuhmaten duniya ne bakhsh dein mujhko
Main aadmi tha magar chup raha khuda ki tarah!
KYA PATA KYUN UNSE ITNA PYAR KAR BAITHE
KYA PATA KYUN UNPE IS KADAR MAR BAITHE
VOH TOH ITNE DUR HAI KI VAPIS NAHI AAEGI
KYA PATA KISKE YAADON ME AANSUN KA DARIYAN BHAR BAITHE
Tujhe kya khabar mah-o-saal ne humein kaise zakham diye yahan
Teri yaadgaar thi ik khalish, teri yaadgar bhi ab nahi!
Na giley rahey na guman rahey na guzarishen hain na guftugu
Woh nishat-e-waada-e-wisl kya humein aitebaar bhi ab nahi!
Bahut chaha magar unhe bhula na sake,
Khayalon me kisi aur ko la na sake....
Kisi ko dekh ke aansu to poch liya,
Par kisi ko dekh ke muskura na sake....
kabhi khamosh betho gai kabhi kuch gungunao gai
main utna yaad aoonga mujhe jitna bhulao gai
koi jab pooch bethe ga khamoshi ka sabab tum se
bohat samjhana chaho gai magar samjha na pao gai