Another poem by me. Hope you'll like it
~*~Ik Maa Ho ke Sochti Hun Mein~*~
Ik maa ho ke sochti hun mein
Ke meri aulaad mujhi se peyar kare
Meri baat maane, mujh se itfaaq kare
Kitna dukh hoga mujhe phir Allah
Agar mujhe woh nazar andaaz kare
Har dam uski khair maangti hun
Ke koi dukh na usse pareshan kare
Bardasht nahi hota ke duniya ya akhirat mein
Uski koi ghalti usse barbaad kare
Sirf nau maa pait mein rakhne ke baad
Itna maa apni aulaad se peyar kare
Magar jis insaan ko Tu ne apne hathon se banaya
Maa se satter gunna ziada uss se Tu peyar kare
Jab mujhe apni mumta ka andaza nahi
Phir tere peyar ka kaise koi shumaar kare?
Tu keya sochta hoga Ya Rab, jab yehi insaan
Shaytaan ki khushi ka samaan kare?
Jab yehi insaan is baat se ghafil hota hai
Ke woh Teri ibadat ikhtiyaar kare
Tere peyare Nabi (saw) ki hidayat tukhra kar
Jahalat ko sar pe sawaar kare
Teri tamaam nematon ko bhula kar
Na'shukri se apne aapko barbaad kare?
Kitni mohlat di maghferat karne ki Tu ne
Taa ke insaan akhir jannat ka deedar kare
Qu'ran mein saaf batla diya Tu ne
Insaan kaise sirat-ul-mustaqeem par kare
Tu to tab bhi bakhashna chahta hai
Jab gunah banda maah-o-saal kare
Jabke Teri ik nemat ki qeemat chukai ja nahi sakti
Chahe ibadat koi hazaaron saal kare
Tu al-Raqib, al-Shahid, al-mumit, Tu hi al-muntaqim
Phir bhi chup chup ke gunha insaan kare
Tu al-afuww, al-adl, al-Ra'uf, Tu hi al-alim,
Phir bhi insaan maghferat ka na samaan kare
Tere Raham-o-karam ka koi mowazna nahi
Phir bhi insaan bura apna anjaam kare
Maa ki mumta ko satter (70) se zarrab de sako to de kar
Koi kuch pal soch-o-wakaar kare
Aik hi baat dil mein aayegi ke
Ke Allah kitna apne bande se peyar kare
Ae duniya ke Malik tere bhi kuch tawakeyaat hain
Lekin insaan ki taqdeer ke woh poore kare na kare
Tu phir bhi bhoolon bhatkon se ghafil nahi
Na jaane kab koi tauba astaghfaar aa kare
Tu Al-Hadi, al-Waliyy, al-Wadud, Tu hi al-Muqit
Is haqeeqat se kaise koi inkaar kare
Ik maa ho ke sochti hun mein
Tu kitna apne bande se peyar kare
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~
The meaning of Allah's names in my poem:
al-Raqib - The Watcher, The Watchful
al-Shahid - The Witness
al-Mumit - The Destroyer
al-Muntaqim - The Avenger
al-'Afuww - The Forgiver
al-'Adl - The Just
al-Ra'uf - The Compassionate
al-'Alim The All-Knowing
al-Hadi - The Guide
al-Waliyy - The Protecting Friend
al-Wadud - The Loving
al-Muqit - The Protector, The Guardian, The Feeder, The Sustainer
