Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
Mujhay yeh sheer bohat pasand aya

"Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa
Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa"

( Naaz Khailvi )
 
Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta
Kisi bhi aainey mein der tak chehra nahi rehta

Hazaron sher mere so gaye kaghaz ki qabron mein
Ajab maa hun koi bachcha mera zinda nahi rehta

Bade logon se milen mein hamesha fasla rakhna
Jahan dariya samandar se mia dariya nahi rehta

Tumhara shehar to bilkul naye andaaz wala hai
Hamare shehar mein ab koi humsa nahi rehta

Koi baadal naye mausam ka phir elaan karta hai
Khizaan ke baagh mein jab ek bhi patta nahi rehta

Mohabbat ek khushbu hai hamesha saath rehti hai
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahi rehta
 
Got in an SMS

Sher arz kiya tha.......

Woh hamen bewafa kehta hai tao kehta rahe faraz.



































Ammi kehti hain keh jo kehta hai woh khud hi hota hai.
 
نا جانے کون سا آنسو کسی سے کیا کہہ دے
ہم اس خیال سے نظریں جھکائے بیٹھے ہیں
 

کسی کے لب پہ چراغِ دعا نہیں جلتا
ہر ایک شخص کی جیسے زبان کالی ہے
سیدآلِ احمد

 
Havaa o hirs waala Dil baddal de
Mayra ghafalat may duuba Dil baddal de

Baddal de Dil ki dunya Dil baddal de
Karam farmaa Khudaaya... Dil baddal de

Gunahgaari may kab tak ai umr kaatoon
Baddal de mayra rastaa... Dil baddal de

Yeh kaisaa Dil hai seenay may Elaahi
Na murdaa hai na zindaa...Dil baddal de

Sunnuu mai Naam Tayra dhardkanoo may
Mazaa aajaaye Maulaa... Dil baddal de

Jo ho deedaar Tayra roz e mehshar
sukoon miljaae aisaa... Dil baddal de

Tayra hojaaoon etnii arzoo hai
Bas etnii hai tammanna...Dil baddal de

Karoon khurbaan apni saari khushiyaan
Ataa kar ghum bas Apnaa...Dil baddal de

Meri faryaad sunlay mayray Maulaa
Banaalay Apnaa Bandaa... Dil baddal de

Nahii husn e amal laykin Khudaaya
Baddal Naimul baddal... achha baddal de



Havaa o hirs waala Dil baddal de
Mayra ghafalat may duuba Dil baddal de

Baddal de Dil ki dunya Dil baddal de
Karam farmaa Khudaaya... Dil baddal de,,,,,,,,,,
 
ہم سمجھتے تھے ، ہمارے بام و در دُھل جائیں گے
بارشیں آئیں تو ، کائی جم گئی دیوار پر ۔۔۔۔۔۔
 
کبھی کبھی کوئی ہوتا نہیں تصور میں
کبھی کبھی دمِ وحشت سکوں بھی ہوتا ہے

لیاقت علی عاصم
 
میرے ہاتھ میں قلم ہے، میرے ذہن میں اجالا
مجھے کیا دبا سکے گا کوئی ظلمتوں کا پالا

مجھے فکر امن عالم، تجھے اپنی ذات کا غم
میں طلوع ہورہا ہوں تو غروب ہونے والا
 
Divaar kiya giri mire kachche makaan ki
Logon ne mere sehan mein raste bana liye

:p:

Aik dil-jale ne isi sher ko aik aor andaaz mein kahin likha, parhne wale ne parha aor abb aap ki khidmat mein pesh hai.

Divaar kiya giri mire kachche shaoor ki
Logon ne mere zehan mein raste bana liye

:raging:
 
چھوڑو عہدِ وفا کی باتیں، کیوں جھوٹے اقرار کریں
کل میں بھی شرمندہ ہوں گا ، کل تم بھی پچھتاؤ گے
(احمد فراز)
 
Mohsin Naqvi ki ghazal, farmatey hein.

Kuch to aey yaar elaaj-e-gham-e-tanhai ho.
Baat itni bhi na barh jaey K ruswaee ho.

Jis ney bhi mujh ko tamasha saa bana rakha hey.
Ab zaroori hey wohi aankh tamashaee ho.

Doobney waley to aankhon sey bhi kab nikley hein.
Doobney key liey lazim nehi, gehraee ho.

Men tujhey jeet bhi tohfey men nehi dey sakta.
Chahta ye bhi nehi hon teri paspaee ho.

Koi anjaan na ho shehr-e-mohabbat ka makeen.
Kash har dil ki har ik dil sey shanasaee ho.

Yon guzar jata hey MOHSIN terey koochey sey wo.
Tera waqif na ho jaisey koi harjaee ho.
 
Nahin na-ummeed Iqbaal apni kasht-e-veeran se
Zara num ho tho yeh matti bari zarkhez hai saqi

(Allamah Iqbaal)
 
داغ سجدود اگر تیری پیشانی میں ہے تو کیا
کوئی ایسا سجدہ بھی کر کہ زمین پے نشان رہے

اقبال
 

Similar Threads

Back
Top