Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
Aao aik sajda karein aalam-e-madhoshi mein
log kehtey hein key saghar ko khuda yaad nehi.
 

ہر وقت کا ہنسنا تجھے برباد نہ کردے
تنہائی کے لمحوں میں کبھی رو بھی لیا کر
(محسن نقوی)
 
میں ناخوش و بیزار ہوں مرمر کی سلوں سے
میرے لئے مٹّی کا حرم اور بنا دو۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔
کیوں خالق و مخلوق میں حائل رہیں پردے
پیرانِ کلیسا کو کلیسا سے ہٹا دو۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔
 
Hamarey baad andhera rahey ga mehfil mein,
Bohat chiragh jalao gey roshni key liey.
 
جس کے ہمراہ چلا تھا سارا زمانہ یارو
کسے اُمید تھی وہ شخص بھی تنہا ہو گا
 
Aainah deekh apna sa monh le kar reh gaye
Sahab ko dil nah dene pe kitna gharoor tha

(Ghalib)
 
Last edited:
قرآن عمل کی کتاب تھی
دعا کی کتاب بنادیا

سمجھنے کی کتاب تھی
پڑھنے کی کتاب بنادیا

زندوں کا دستور تھا
مردوں کا منشور بنادیا

انقلاب کی کتاب تھی
صرف ثواب کی کتاب بنادیا

جو علم کی کتاب تھی
اسے لاعلموں کے ہاتھ تھمادیا

تصقیر و قنعت کا درس دینے آئی تھی
صرف مدرسوں کا نصاب بنادیا

مردہ قوموں کو زندہ کرنے آئی تھی
مردوں کو بخشوانے پر لگادیا

آے مسلمانوں یہ کیا تھا
ہم نے کیا کردیا
کیاتھا ہم نے کیا بنادیا

تلمیز بھائی کے لیئے
 
Last edited:
Jazzakallah o Khairan Kathera :'(

Yeh aik Talkh haqeeqat hay Key hum Koran say bohat door ho gay hain. Allah Ta'ala hum sub ko Isay Pardhany, Samajhnay or Amal karnay ki tofeeq day Ameen.
 
Havaa o hirs waala Dil baddal de
Mayra ghafalat may duuba Dil baddal de

Baddal de Dil ki dunya Dil baddal de
Karam farmaa Khudaaya... Dil baddal de

Gunahgaari may kab tak ai umr kaatoon
Baddal de mayra rastaa... Dil baddal de

Yeh kaisaa Dil hai seenay may Elaahi
Na murdaa hai na zindaa...Dil baddal de

Sunnuu mai Naam Tayra dhardkanoo may
Mazaa aajaaye Maulaa... Dil baddal de

Jo ho deedaar Tayra roz e mehshar
sukoon miljaae aisaa... Dil baddal de

Tayra hojaaoon etnii arzoo hai
Bas etnii hai tammanna...Dil baddal de

Karoon khurbaan apni saari khushiyaan
Ataa kar ghum bas Apnaa...Dil baddal de

Meri faryaad sunlay mayray Maulaa
Banaalay Apnaa Bandaa... Dil baddal de

Nahii husn e amal laykin Khudaaya
Baddal Naimul baddal... achha baddal de



Havaa o hirs waala Dil baddal de
Mayra ghafalat may duuba Dil baddal de

Baddal de Dil ki dunya Dil baddal de
Karam farmaa Khudaaya... Dil baddal de,,,,,,,,,,

I absolutely love this! makes my heart melt.

Here is one that I like...

Khudhi Ko ker bulund itna ke
Har taqdeer se phele Khuda bande se poochey
"Bata teri raza kya hai
 
I absolutely love this! makes my heart melt.

Here is one that I like...

Khudhi Ko ker bulund itna ke
Har taqdeer se phele Khuda bande se poochey
"Bata teri raza kya hai

Dear TW009

Iqbal would have cried in the heaven when some one read above verses to him:phew

Pls find the correct one as under;

Khudi ko kar buland itna key har taqdeer sey pehley,
Khuda bandey sey khud poochey, bata teri raza kia hey.

:D
 
umm I dont get whats the difference, :hmm: I mean what you wrote means pretty much the same thing?

muje samaj nahi aya... I don't know much about poetry soo lol
 
umm I dont get whats the difference, :hmm:

muje samaj nahi aya... I don't know much about poetry soo lol


That is why, aap ko samajh nehi aaya.

Dosry parhney walon ko zaroor samajh aa gya hoga:omg:
 
^ okay well maybe you can at least explain the difference ?
... is it the way I wrote it different and did it actually change the whole meaning of it?.. :\
 
Sis tw009,

Don't take it personal. Poetry of a poet is his property and any change in the dimensions in any mean of somebody's property is considered unlawful.

Forget about it, enjoy these verses by Allama Iqbal;

kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein

tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein

tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein

dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein

na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein

na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein

jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein.
 
وہ ایک خواب جسے مل کے سب نے دیکھا تھا
اب اپنے اپنے قبیلوں میں بٹ کے دیکھتے ہیں
 
ملاّ کو جو ہے ہند میں سجد ے کی اجازت
ناداں یہ سمجھتا ہے کہ اسلام ہے آزاد
 
Jahan phuulon ko khilna tha vahiin khilte tho achchhaa tha
Tumhi ko ham ne chaaha tha tumhiin milate tho achchhaa tha
koi aa kar hamen puuchhe tumhen kaise bhulaaya hai
Tumhaare Khat ko ashkon se shab-e-gham mein jalaaya hai
Hazaaron zaKhm aise hain agar silate to achchhaa thaa
Tumhen jitna bhulaaya hai tumharii yaad aai hai
Bahaar-e-nau jo aai hai vohi Khushbuu laai hai
Tumhare lab meri Khaatir agar hilte tho achchhaa thaa
Mila hai lutf bhi ham ko haseen yaadon ki jhil-mil mein
Kati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil mein
Agar tum aate tho achchhaa tha agar milte tho achchhaa tha

(SaadUllaah Shah)
 
is hajoom e ghum ke talay dabay hoye hain hum na-umeed,
koi in bhanwaron se poochay ke meri khata kya thi.
 
Hum Dard ke Maron ka,
Itnaa Hi Fasanaa Hai
Peene ko Sharab-e-Ghum,
Dil Ghum ka Nishanaa Hai

Dil Ek Khilauna Hai,
Taqdeer ke Hathho mein
Marne ki Tamanna Hai,
Jeene ka Bahanaa Hai

Deten Hai Duwaaen Hum,
Duniya ki Jafaaon ko
Kyoon Oonko Bhulayen Hum,
Ab Khud ko Bhulanaa Hai

talat mahmood
 

Similar Threads

Back
Top