Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
جس میں نہ ہو انقلاب، موت ہے وہ زندگی
روحِ اُمم کی حیات کشمکشِ انقلاب​
 
Kushada dast-e-karam jab wo be nayaz karey.
Nayaz mand na kion aajzi pey naaz karey.

(Allama Iqbal)
 
iqbal05.gif


Dr. Mohammad Iqbal
 
چمن چمن کلی کلی، روش روش پکار دو
وطن کو سرفروش دو، وطن کو جانثار دو
نظر نظر میں موجزن تجلیوں کے قافلے
وہ جزبہءِحیاتِ نو، بشر بشر ابھار دو

(ساغر صدیقی)
 
خود سے خود تک پہنچ نہیں پایا
کون ہے درمیاں نہیں معلوم

شعیب تنویر
 
Amjad Islam Amjad ki 1 nazm pesh-e-khidmat hey, unwan hey "Mohabbat".

muhabbat os ki suurat
pyaasi pankhRi ke honT ko sairaab karti hai
guloN kii aastiinoN meN anokhe rang bharti hai
sehar ke jhaT_paTe meN gungunaati, muskuraati, jagmagaati hai
muhabbat ke dinoN meN dasht bhi mehsuus hota hai
kisi firdaus ki suurat
muhabbat os ki suurat

muhabbat abr ki suurat
diloN ki sar zamiiN pe ghir ke aati aur barasti hai
chaman ka zarra zarra jhuumta hai, muskuraata hai
azal ki be namu miTTi meN sabza sar uThhaata hai
muhabbat un ko bhi aabaad aur shaadaab karti hai
jo dil haiN qabr ki suurat
muhabbat abr ki suurat

muhabbat aag ki suurat
bujhe siinoN mein jalti hai to dil bedaar hote haiN
muhabbat kii tapish meN kuChhh ajab asraar hote haiN
k jitna yeh bhaRakti hai, uruus-e-jaaN mehakti hai
diloN ke saahiloN par jamaa hoti aur bikharti hai
muhabbat jhaag ki suurat
muhabbat aag ki suurat

muhabbat Khwaab ki suurat
nigaahoN meN utarti hai kisi mehtaab ki suurat
sitaare aarzu ke is tarah se jagmagaate haiN
k pehchaani nahiiN jaati dil-e-betaab ki suurat
muhabbat ke shajar per Khawab ke panchhi utarte haiN
to shaakheN jaag uThhtii haiN
thake haare sitaare jab zamiiN se baat karte haiN
to kab ki muntazir aankhoN meN shammeN jaag uThhtii haiN
mohabbat in meN jalti hai chiraagh-e-aab ki suurat
mohabbat Khwaab ki suurat

mohabbat dard ki suurat
guzishta mausamoN ka istiaara ban ke rehti hai
shabaan- e-hijr meN raushan sitaara ban ke rehti hai
munDeroN par chiraaghoN ki laueN jab thartharaati haiN
nagar meN na ummiidi ki havaayeN sansanaati haiN
gali meiN jab koii aahaT koii saaya nahiiN rehta
dukhi dil ke liye jab koii bhi dhoka nahiiN rehta
ghamoN ke bojh se jab TuuTne lagte haiN shaane to
yeh un pe haath rakhti hai
kisi hamdard ki suurat
guzar jaate haiN saare qaaifle jab dil ki basti se
faza meN tairtii hai der tak yeh
gard ki suurat
mohabbat dard ki suurat!
 
taskeeen na ho jis say wo raaz badal dalo
jo raz na rakh paye hamraz badal dalo
tum nay bhi suni hogi bari aam kahawat hay
anjaam ka ho khatra to aghaz badal dalo
pur-soz dilo ko jo muskan na day paye
sur hi na milay jis may wo saaz badal dalo
dushman k irado ko hay zahir ager kerna
tum khail wohi khailo andaz badal dalo
 
taskeeen na ho jis say wo raaz badal dalo
jo raz na rakh paye hamraz badal dalo
tum nay bhi suni hogi bari aam kahawat hay
anjaam ka ho khatra to aghaz badal dalo
pur-soz dilo ko jo muskan na day paye
sur hi na milay jis may wo saaz badal dalo
dushman k irado ko hay zahir ager kerna
tum khail wohi khailo andaz badal dalo
.
kun si kitab se chapa hai?.......................
 
^ mery tu damag ma 2+2=4 hi sumj ata ha, shairi etc oper say guzar jati ha. but ya sher achy han. thanks for sharing.
 
.
kun si kitab se chapa hai?.......................

mujhay yaad nahi kahan say utara tha apne diary may... mairay nazdeek refrence k bjaye shair k alfaz ki ziayad ehmiat hoti hay isliye may kitaab ka nam yaad rakhna zaruri nahi samjhti..
 
^ mery tu damag ma 2+2=4 hi sumj ata ha, shairi etc oper say guzar jati ha. but ya sher achy han. thanks for sharing.

JAZAKALLAH 4 liking them..
akser shairee may bhi bohot achay achay paigham chupay hotay hain.. bas unhay samjhna perta hay..
 
i got this from some where.i wanted to share it with all the IB members but the problem is that its in urdu nd i cant translate it in english :(
i love these lines too much.. its for all those who have faced lots of hardships in the way of Allah and are still struggling day and night..


wo chehray may ny daikhy hain ,
jo rah e wafa per chal chal k ik roz bohot thak jatay hain
logo ki nigaho say chup ker wo apnay zakahm chupatay hain
un chehro say may kehta hn,
mujhay apnay piyaray RAB ki qasam,
tum log bohot khush qismat ho
is rah k dukh,is rah k ghum
qismat walo ko miltay hain
ye chashm e num, aluda qadam,
dolat walo ko miltay hain
is rah may ruswai k alam ,
izzat walo ko miltay hain
ye chahray jab bhi daikhta hn,
meri ankhon k a gay yakdam ik manzar ghoom sa jata hay
wo din k jis ka wada hay,
jo roz e azal may likha hay
us roz tumhray ye chehray
ek chand ki surat chamkain gay
us roz tumhari hi khatir rasto ko sajaya jaye ga
palko ko bichaya jaye ga, kalio ko khilaya jaye ga
tum log bohot khush qismat ho
mujhay apnay piyaray RUB ki qasam
tum log bohot khushqismat ho
 
وہ چہرے میں نے دیکھے ہیں
جو راہ وفا پر چل چل کے ایک روز بہت تھک جاتے ہیں
لوگوں کی نگاہوں سے چھپ کر وہ اپنے زخم چھپاتے ہیں
ان چہروں سے میں کہتا ہوں
مجھے اپنے پیارے رب کی قسم
تم لوگ بہت خوشقسمت ہو
اس راہ کے دکھ ,اس راہ کے غم
قسمت والوں کو ملتے ہیں
یہ چشم نم , آلودہ قدم ,
دولت والوں کو ملتے ہیں
اس راہ میں رسوائی کے الم ,
عزت والوں کو ملتے ہیں
یہ چہرے جب بھی دیکھتا ہوں
میری آنکھوں کے آگے یکدم ایک منظر گھوم سا جاتا ہے
وہ دن کے جس کا وعدہ ہے ,
جو روز ازل میں لکھا ہے
اس روز تمہرے یہ چہرے
ایک چند کی صورت چمکیں گے
اس روز تمہاری ہی خاطر رستوں کو سجایا جائے گا
پلکوں کو بچایا جائے گا , کلیوں کو کھلایا جائے گا
تم لوگ بہت خوش قسمت ہو
مجھے اپنے پیارے رب کی قسم
تم لوگ بہت خوشقسمت ہو
 
غازیوں میں بو رھےگی جب تلک ایمان کی”
“تخت لندن تک چلےگی تیغ ھندوستان کی


“ Ghāzioń méń bū rahegi jab talak imān ki; Takht-e-London tak chalegi tégh Hindustan ki ”

“ As long as there remains the scent of faith in the hearts of our heroes, so long shall the sword of Hindustan flash before the throne of London ”

~ Bahadur Shah II
 
^sister if i m not wrong the shair of iqbal is like this..

tu shaheen hay perwaz hay kaam taira..
tairay samnay asman or bhi hain
 
جی بلکل مسلم حیا نے ٹھیک غلطی نکالی ہے
 

Similar Threads

Back
Top