Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
Assalamu Alaikum

Mashallah Ta'ala that was really good Brother wkas!

Here is one I made up, I don't think it's very good but if there are mistakkes in this then forgive me and please correct me!

Kudhaa hume banaya hain
Kudhaa se hum sub luthen ge
Is lee ye unse Du'a karo
Ur sub dhil khi cheez marngu

Ye duniya ki vaqt buhut chotha hain
Aakhirah ki vaqt ara ha hain
Mere Baiyon ur Behno hum sub gunaghar hain
Ur Kudhaa se hume Du'a kar na hain.

Assalamu Alaikum
Shakirah
 
Last edited:
Assalamu Alaikum

Mashallah Ta'ala that was very nice. I understood it! How about mine? Does it make sense, Brothers and Sisters?

Assalamu Alaikum
Shakirah
 
:sl:

sis Shakirah app na jo shayir likhain hain ya banaeey hain unki samajh arahee hay lakin shayiroon ki aik rawanee hoti hay woh alfaz ko sahi taraeekah say istemaal karna sahi atee hay aur shayir parhna ka maza ata hay
wasa kafi maenay walay shayir thay
iss ko jaree rakhain

:w:
 
:sl:

Ajab nahi kah Khuda tak tari rasaee ho
teri nigah say hay poosheda admee ka makaam
teri namaz main baqi jalal hay, nah jamal
teri azaan main nahi hay meri sahar ka payaam

:w:
 
:sl:
Tauheed
zinda qoovat thee janhaan main yehi tauheed kabhi
ajj kiya hay, faqat ik maslaee ilm kalaam
roshan iss zaou say agar zulmat e kirdaar na ho
khud musalmaan say hay pousheda musalmaan ka maqaam
main nay aay meer e sipaah! teri sipaah deykhi hay
qul hoval'Allah, ki shamsheer say khali hain nayaam
Ah! iss raaz say wakif hay na mullah na faqeeh
wahdat afqaar ki bey wahdat e kirdaar hay khaam
qoum kiya cheez hay, qoumoon ki imamat kiya hay
iss ko kiya samjhaain yeh beycharey do rakat kay imaam!

:w:
 
:sl:


Azade shamsheer kay Aylaan per

socha bhi hay aay mard e Musalmaa kabhi tu nay
kiya cheez hay folaad ki shamsheer e jegardaar
iss beeyt ka yeh mesraae awaal hay kah jiss main
pousheeda chalay atay hain tauheed kay asraar
hay fiqak mujhay mesraae sani ki zeyadaa
Allah karay tujh ko ataa ho fiqak ki talwaar
qabazey main yeh talwaar bhi ajaeey tu Momen
ya Khalid(R.A) janbaaz hay ya Haider(R.A) karaar

:w:
 
urdupoint1.gif
 
Assalamu Alaikum

Jazakallah Khair Brother wkas. Shayiri is only one verse, forgivE me I didn't know but now I do and I shall Inshallah Ta'ala get it right next time!

Assalamu Alaikum
Shakirah
 
Last edited:
:sl:

Na woo Isq may rahin garmiyan, Na woo husn may rahin shukhiyan
Na woo jhaznawi may rahi tarap, Na woo kham hay zulf ayaaz may
jo may sar basajda howa kabhi, tu Zamin say anay lagi sada
tera dil tu hay sanam ashna, tujhay kiya milay ga Namaz may

:w:
 
:sl:

teri dua say qazaa tu badal nahi saktee
magar hay iss say yeh momkin kah tu badal jaey
teri khudee main agar inqalaab ho peydaa
ajaab nahi hay kah yeh chaar sou badal jaey
wohi sharaab, wohi hay o ho rahay bakee
tareeq e sakee o rasam e kudoo badal jaey
teri dua hay kah ho teri arzoo pouree
meri dua hay teri arzoo badal jaey!

:w:
 
:sl:

Imamaat

tu nay pouchee hay imamaat ki haqeqat mujh say
haq tujhay meri tarah sahib e asraar karay
hay wohi teray zamanay ka imaam barhaq
jo tujhay hazer o moujood say beyzaar karay
mooth kay aaeynay main tujh ko deykha kay rukh e dost
zindagee teray liya aur bhi doushwaar karay
dey kay ehsaas e zayaan tera lahoo garma day
fiqar ki saan charha kay tujhay talvaar karay
fitnaey milat beyda hay imamaat iss ki
jo musalman ko salateen ka parasstaar karay!

:w:
 
:p :) isnt dat a junaid jamshed nasheed bro??

okie doks lemme spit sum lines lol :okay:

dunya d nazar ne vekheya eh doh sanoo, bar
sadi jind ek, jaan ek, ah mahi mera jan daa


wah wah wahhh :p
 
:sl:

yeh sahar jo kabhi farda hay kabhi hay amrooz
nahi maloom kah hoti hay kaanha say peyda
woh sahar jiss say larazta hay shabistan e wajood
hoti hay Banda e Momen ki Azaan say peyda

:w:

wah bro wkas mashallah kya baat hai! :)
one of my favs
 
ahemm...
dis is another of my favs...
shiddat-e-gham se sulag ut-thi hai raat nadeem
log us waqfa-e-maatam ko sehr kehte hain
 
dis is one on friendship

i dedicate dis one to u all at LI :)
nahi jo waaqif-e-rasm-e-wafaa wo kya jaane
ke dil ke khoon se jalte hain dosti ke charaagh
 
:sl:

brother woh Allama Iqbal ki nazam hay aur mujhay iss ka ilm nahi kay junaid jamshed na is ko nasheed banaya hay ya nahi

:w:
 
ohhh ji oye wkas lol, achaa mashallah yeh allama saab ka kalaam hai gud gud jii aur allama iqbal ke kalaam hai?
 

Similar Threads

Back
Top