**Urdu Game:Guess..**

  • Thread starter Thread starter Salema
  • Start date Start date
  • Replies Replies 124
  • Views Views 30K
Muslims aur quraish kay darmihaan jo mohyda hua tha un ki sharehaat kya thian????????
:sl: ooooooooooooh bahat bada sawaal hai:uhwhat
sis 2 martaba mohyda huva tha 1- shuaib abi talib 2- sulah hudaibiya

agar aap sulah hudaibiya ki baat kar rahi hain too uss ki sharayat

1- musalmaan is saal umra karey bagair wapis chalae jain .
2- aglae saal aain sirf teen din k liyae
3-hatyaar laga kar na aain sirif 1 talwaar saath lain voh bhi niyaam main
4-makkah main joo musalman mugood hain in mai sae ksi ko sath na lae jaye
magar agar koi musalman makkah main rahna chata ho to na roukain
5-kuffar sae joo koi musalman hoo kar madina jai too us ko vapis kar diya jai magar koi musalman agar makka ai ti us ko vapis nahi kiya jaiga
6-arab ko ikh tiyaar hooga k voo fareeqain main sye jis k saath cahain moahidain main shreek hoojain .


sis itna lanba sawaal tha phlae romen english hai is liyae sawaal agar mokh tasar aur mufeed hoo to shayed sab is main intrest lain .:X

agla sawaal
madina main hijrat k baad mohammed(saw) nae kis k ghar qhiyaam kiya tha? aur us sahabi ka intaeqaal kis k durye ohad main huva?
 
:sl:
Hazrat Abu ayyub ansari kai gher main qiyaam kiya..laiken mujhay yeh yaad naheen kai kis kai ahed main howa..:sister:
 
:sl:
Hazrat Abu ayyub ansari kai gher main qiyaam kiya..laiken mujhay yeh yaad naheen kai kis kai ahed main howa..:sister:
:sl: yazeed ibn moavia(raz) key doure khilafat main

jab share qustuntuna fatah hua tha too(mulke sham) vahan par intae qaal hua .

is ki tareeqi ahmiyat yeh hai k iss k barea main rasool allah(saw) nae
paeshan goee ki thi :)

agla sawaal kiyoon nahi diya sis:heated:
khair agla sawaal

koun si ummul momineen k dupatae (oordhni) say jang e badar ka islami jhanda (parcham) banaya gaya?:rollseyes
 
:sl:

koun si ummul momineen k dupatae (oordhni) say jang e badar ka islami jhanda (parcham) banaya gaya?:rollseyes



ummul momineen hazrat hafza :?



kis jang azeem mein musalmano ko shekast ka samnah karna para tha mohammad (saw) ka hukam nah maney ki bena par?
 
ummul momineen hazrat hafza :?


kis jang azeem mein musalmano ko shekast ka samnah karna para tha mohammad (saw) ka hukam nah maney ki bena par?
nahi sis haz ayesha raz
jang-e uhad may
magar sis shekast nahi kah saktay shikast nahi hoi thi pispai hoi thi:uhwhat

agla sawal-
voh koun se ummul momineen hai jin ki namaaze janaza nahi padhai gai thi ? aur kiyoon?
 
nahi sis haz ayesha raz
jang-e uhad may
magar sis shekast nahi kah saktay shikast nahi hoi thi pispai hoi thi:uhwhat

agla sawal-
voh koun se ummul momineen hai jin ki namaaze janaza nahi padhai gai thi ? aur kiyoon?


Thanks for correction bro khaledmm123 ..........sorry mein neh aik dafa phir ghalat jawab dey diye darasal meri itni achi maloomat nahi hain islamic history kay bare mein........:hiding: waise mein neh islamic books padhna shuroo ki hain..

answer to ur question

ummul momineen hazrat khatija (ra) aur namaaze janaza isliye nahi padha gayha kyon kay us waqt namaaze janaza nahi hota tha ..

hope i'm correct this time......:heated:

next question

hazrat mohammad (saw) ki beytain ketni thian aur un kay naam batain?
 
Last edited:
:sl:
jawaab sahi hay sis magar nahi hota tha nahi balkey namaaze janaza ka hukum abhi nazil nahi huwa tha :)

aap ka jawaab--4 thian haz zynab ;umme kulsoom; roqaiyya; fatima
next sawaal
in 4 main batool kis ka laqab tha?
 
Last edited:
:sl:
jawaab sahi hay sis magar nahi hota tha nahi balkey namaaze janaza ka hukum abhi nazil nahi huwa tha :)

aik hi baat hain nah us zamaane mein janaz-e-namaz ka hukam nahi hua tha tabi tu namaz-e- jenaza nahi padha gaye tha...........

:sl:

next sawaal
in 4 main batool kis ka laqab tha?

LOL aaj ka din mere liye bahut acha hain ........kyon kay is sawaal ka jawab aata hian mujhe.......batool hazrat fatima (ra) ka laqab tha.......aur is kay ilawa "aurtoon ki sardar" ka bhi laqab diya gaye tha unhain......sahi?

agla sawal

unn sahabas karaam ka naam batyain jin ko duniya mien hi jahnaat ki basharat di gahi thi?????
 
agla sawal

unn sahabas karaam ka naam batyain jin ko duniya mien hi jahnaat ki basharat di gahi thi?????

eew abhi tak kesi neh is sewaal ka jawab nahi likha very bad :rollseyes

mein khud hi likh deyti appne sewaal ka jawab par mujhay nahi maloom......:hiding:

isliye

barahe merbani agar app mein say kesi ko bhi is sewaal ka jawab aata hian tu zaroor likh dey.
 
:sl:

urdu thread may bhi islamic quiz hay:statisfie

magar agla sawaal?
 
shukriya:statisfie


haz mohammed saw ki khabar e mubarak kis sahabi nay khodi?
 
haz mohammed saw ki khabar e mubarak kis sahabi nay khodi?


Zayd bin Sahl?????

agar jawab sahi hain tu agla sawal hain

kis umar mein hazrat mohammad(saw) ki shadi hui thi hazrat khatija(ra) kay saath?
 
:sl:
Zayd bin Sahl?????

galat hay

sahi jawaab hay
haz abu talha( raz)

Huzoor saws ke daada Abdul Muttalib kaa naam Abdul Muttalib kaise padha ?
kis ne rakha.. ?
abdul mutallib k chacha( hashim k bhai) muttalib nay abdul muttalib ki bhai k intaqal(hashim k) k bad parwarish ki
to makkah waloon nay un ko abdul muttalib k naam say pokara
right?:?
 
kaise padha" ?

kiya matlab:X

well.. unke waalid ke inteqaal ke baad.. muttalib unhen apne oont par bitha kar makkah laaye... kisi ne sawaal kiya ke woh ladka kaun hai ?
tab unhonne kaha ke unka ghulaam hai... "ABD"
tab se unka naam Abdul Muttalib padha tha...

yes mujhay histry pata hay

kiya itna sab likhna tha?:uhwhat
 
:sl:



next..


abdulmuttalib ka asli naam kiya tha aur voh naam kisay padha?
 
Last edited:
:sl:



next..


abdulmuttalib ka asli naam kiya tha aur voh naam kisay padha?


un ka naam shaybah tha aur yeh naam un kay surmai baalo ki waja rakha gahe tha.......

agla sawal hain

hazrat mohammad(saw) ki walda ka naam kya tha??????????
 

Similar Threads

Back
Top