Urdu General

  • Thread starter Thread starter Beardo
  • Start date Start date
  • Replies Replies 741
  • Views Views 158K
^ maira nahi khayal.. kio k mujhay hindi bilkul samajh nahi ati jb k mujhay alhamdulilah urdu samajhna bolna perhna likhna ata hay..:mmokay:
 
Zyaada difference nahin hain Urdu aur Hindi mein aise lagta hain.

Agar hum India mein baat kare to log urdu or hindi mein baat karte waqt ziyada difficult words english mein hi bolte hai isiliye farq nahin dikhta hai. Likhne mein bohot farq hai. Agar hum pure hindi ya urdu baat kare to bohot farq dikhta hai.
 
walaikum assalam..

alhamdulilah bilkul thek thak..:statisfie
app sunaye kaisay mizaj hain...?:p
 


Agar hum India mein baat kare to log urdu or hindi mein baat karte waqt ziyada difficult words english mein hi bolte hai isiliye farq nahin dikhta hai. Likhne mein bohot farq hai. Agar hum pure hindi ya urdu baat kare to bohot farq dikhta hai.

Bilkul sahi joh aap kehre hain. Farq mawjud hai jab log farsi aur sankrit alfaaz istimaal karte hain, lekin aam tor par kuch khaas farq nahin hai dono zabaan ke beech men.

Grammatically, and phonology both languages are identical. Only when it come to specialist vocab is there a difference and a slight one at that, since Hindi has incorporated Urdu words into it's vocab too. The two are essentially different dialects of the same language and the terms "Hindi" and "Urdu" appeared very late. Only in the 18th century.

http://www.youtube.com/watch?v=fl4xppek2gY
 
Last edited:
Pєαяℓ σf Wιѕ∂σм;1438464 said:
Hum bhi teek hain alhamdulilaah bilkul teek taak

Aap ko sirf mun-o-salwa se baat karni hai :><:. Mera kya hoga mein khamosh bethi raho :unhappy:.

Mein hi baat cheet shuru karti ho. Aap log ko urdu likhna aata hai ya sirf baat cheet hi aati hai?
 
maira nahi khayal.. kio k mujhay hindi bilkul samajh nahi ati jb k mujhay alhamdulilah urdu samajhna bolna perhna likhna ata hay..

aap kaha rahti.hindi ke bigair aap zinda kaise hai.Har jagah hindi chalti hai.school me hindi compulsory hai.
 
ITNI BADI NAINSAFI
Brothers' section me jane ke liye 200 post
Sisters' section me jane ke liye 300 post?
 
^:lol: Pehle jab mujhe pata chala tha to mein ne bhi yahi socha tha :D. Sabr se kaam lena padhega aap ko :). Na insafi to hai lekin agar hum 250 posts tak aagaye to agar hum request karte waqt kisi purane member ka naam le to hume 250 posts par hi hum sister's section mein ja sakte hai. Mujhe bohot problem hoi thi lekin mein ne akhal mandi se kaam liya :nervous:.
 
aap kaha rahti.hindi ke bigair aap zinda kaise hai.Har jagah hindi chalti hai.school me hindi compulsory hai.

maira talluq hindustan say nahi hay behna..:mmokay:


^:lol: Pehle jab mujhe pata chala tha to mein ne bhi yahi socha tha :D. Sabr se kaam lena padhega aap ko :). Na insafi to hai lekin agar hum 250 posts tak aagaye to agar hum request karte waqt kisi purane member ka naam le to hume 250 posts par hi hum sister's section mein ja sakte hai. Mujhe bohot problem hoi thi lekin mein ne akhal mandi se kaam liya :nervous:.

ik baat btaun bohot pehlay jab may nay sisters section join karnay ka irada kiya tha us waqt shayad 100 post howa kertee the.. so mujhy permission mil gai.. 2006 ya 2007 ki baat hay.. us zamanay may posts bohot kam kiya kerte the:hmm:.. phr IB p ana chor diya is liye wahan say bhi nikal diya gaya:hiding:
phr jab may wapas agae to mujhay 300 posts say pehlay hi wahan janay ki ijazat mil gai shayab 200 p:p

:raging::raging::anger::anger::anger::anger::anger::anger::anger::anger::anger::anger::anger:Har jagah hame hi kyun sabr karna padta hai?

kio k hamaray piyaray Allah tala ko ham say bohot muhabbat hay or wo hamara iman mazbut kernay k liye hamara imtihan laitay hain.. sabr k sath dhair sara sawab bhi to milta hay :statisfie



Kyun ki ladke kam-go hote hain :statisfie

:omg:

ap kahen mareekh p to nahi rehtay..??? wahan p hotay hn gay^o)
 
Pєαяℓ σf Wιѕ∂σм;1438464 said:
^Alhamdulilaah

Hum bhi teek hain alhamdulilaah bilkul teek taak :-\

bari khushi howi ye jan ker.. Allah tala apko apnay hifz o amaan may rakhain :)




Aap ko sirf mun-o-salwa se baat karni hai :><:. Mera kya hoga mein khamosh bethi raho :unhappy:.

Mein hi baat cheet shuru karti ho. Aap log ko urdu likhna aata hai ya sirf baat cheet hi aati hai?


aray aray app ko bolnay say kn rok raha hay.. kis ki ye majal k wo apko.....:p

g bilkul jaisa k may pehlay bta chuki hn mujhay urdu samajhna perhna likhna bolna ata hay Alhamdulillah:)
 
Achhi baat hai na, Allah sabr karne walon ke saath hai.
Originally Posted by Khan Rahila
Brothers' section me jane ke liye 200 post Sisters' section me jane ke liye 300 post?
Kyun ki ladke kam-go hote hain
Oh..Jazakallah ye gyan batne ke liye
ye bat bhi achchi tarah sun lijiye ki ALLAH TALAH ko NAINSAFI karne wale bilkul pasand nahi
ladke kam_go hote hain.JOKE
woh islamicboard pe dikh hi raha hai:raging::anger:
 
Last edited:

Similar Threads

Back
Top