Urdu Poetry

  • Thread starter Thread starter Bin Qasim
  • Start date Start date
  • Replies Replies 214
  • Views Views 83K
Iqbal terey ishq ney sab bal diye nikaal,
Muddat sey aarzoo thi key seedha karey koi.

(Another face of Dr Mohammed Iqbal's poetry)
 
تیرے سجدے کہیں تجھے کافر نا کردیں
اے انسان
تو جھکتا کہیں اور ہے اور سوچھتا کہیں اور ہے​
 
Ham mashriq ke makinon ka dil maghrib mein ja ataka hai
Wahan kuntar sab billorii hain, yahan ik purana matka hai

Es daur mein sab mit jayen ge, haan baaqi woh reh jaaye ga
Jo qaayam apani rah pe hai, aur pakka apani hat ka hai

Aye shaiKh-o-brahman sunate ho kyaa ahl-e-basiirat kehte hain
Gardoon ne kitani bulandi se un qaumon ko de pataka hai

Hazrat-e-Iqbal
 
poetry by Jon Elia
http://www.youtube.com/watch?v=_HxcyHmnCP0

"A close relation of Elia's, Syed Mumtaz Saeed, recalled that Elia also went to Syed-ul-Madaris in Amroha, a Madressah (Koranic school). "Jaun had a way with languages. He could learn them effortlessly. Apart from Arabic and Persian that he had learnt at the Madressah, he acquired great proficiency in English and a smattering of Hebrew." Wikipedia

میں بھی بہت عجیب ہوں،اتنا عجیب ہوں کہ بس
خود کو تباہ کر لیا،اورملال بھی نہیں
 
Baal-e-Jibril (Allamah Iqbal)



 
^^^^^

Abdul Rehmaan the book name is Baab e Jibrael باب جبرائیل
 
عجب نہیں کہ خدا تک تری رسائی ہو
تری نگہ سے ہے پوشیدہ آدمی کا مقام
تری نماز میں باقی جلال ہے نہ جمال
تری اذاں میں نہیں ہے مری سحر کا پیام
 
عبدالرحمٰن آپ سمجھ نہیں رہے میں یہ کہ رہا ہوں کہ یہ بال جبرائیل نہیں ہے بلکہ یہ باب جبرائیل ہے
 
Kitab Ka Nam Bal e Jibrel hi hay. AR bhai nay theak likha hay. Alama ki koi kitab Bab e Jibrael k nam say mosoom nahi hay :-\

Kitaab ka naam Baal-e-Jibril hi hai. Abdul Rahmaan bhai ne theek likkha hai. Allamah ki koi kitaab Baab-e-Jibril ke naam se maosoom nahin.

:D
 
Agar aap mujhe Tilmeez bhai bana sakte hain tho app se umeed ki ja sakti hai keh aap jald hi Tilmeez bhai ko zAk bhai bana den ge aor khud koi aor bhai ban jaen ge. :p
 
Ye to wohi baat ho gai, I remember, there was a program 50-50 on PTV. 1 Clip Pakistan ki hockey team sey mutaliq tha. Us waqt Pakistan ki team me Saleemullah or Kaleemullah do bhai bohat achey khilari they.

Clip kuch yun tha:

Gand Kaleemullah sey Saleemullah ke pas gai, us ney wapas Kaleemullah ko phenki, phir Kaleemullah sey Saleemullah, Saleemullah sey Kaleemullah, Kaleemullah sey Saleemullah, Saleemullah sey Kaleemullah,Kaleemullah sey Saleemullah, Saleemullah sey Kaleemullah....

Dono bhai khel rahey hein, baqi team chaey peeney gai hey.

(When I saw conversation between Waji and AR, it struck my mind and could not hold my self to share you all) ;-)
 
Kiya dao rozah zindagi ka qarinah chahiye
Marne wale ki tarha jina chahiye
Thu barae bandagi hai yaad rakh
Bahar-sar afandagi hai yaad rakh
Warnah phir sharmindagi hai yaad rakh
Chand rozah zindagi hai yaad rakh
Aik din marna hai aakhir maot hai
Kar le jo karna hai aakhir maot hai
 
ahat,
larzishain,
tumhainn pata hay yay hein kya?

ansoo,
ranjeshain,
tumhain is say magar kya?

kya keh diya meine tumhain
bohat bura lagta hay kya?

jeetay ho tum apnay liye,
haaro gay tum kya?

zindagi behta lahoo,
tumhain pata hay yay hay kya?

dharkanain chalti hon,
tum nay roki hain kya?

tum nay kiya wohi faqat,
ab raho gay tum insaan kya?

(aaroh)
 

Similar Threads

Back
Top