Waqai Karbala, Tareekh ke ainae mai- Urdu Book

  • Thread starter Thread starter Masuma
  • Start date Start date
  • Replies Replies 10
  • Views Views 34K

Masuma

kutsalgizemler.com
Messages
789
Reaction score
120
Gender
Female
Religion
Islam
Download or read urdu book below
http://www.scribd.com/doc/73737595/Waqia-Karbala-tareekh-ke-aine-me-Urdu-Book


The view of Aima karam, Muhaddiseen and Islamic Scholars about Hazrat Yazeed bin Mu'awaia (R.A)


Allama Ibn-e-Kaseer kehtey hain:

“Ek dafa Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney Abdullah Ibn-e-Abbas (Razi Allah Unho) k saamney
taqreer ki aur jab Yazeed (Rehmatullah Alaih) wahan sey uth gaye to Abdullah Ibn-e-Abbas (Razi
Allah Unho) ney fermaya Banu Harb {Harb:Yazeed k perdada ka naam} aur Yazeed
(Rehmatullah Alaih) agar Duniya sey chaley gaye to Duniya sey Ulma uth jaayegein” (Albadaya
Wannahaya Vol. 8 pg. 229)

Imam Zehbi aur Allama Ibn-e-Kaseer likhtey hain:

“ Aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki zaat main qabil-e-sataish sifaat halm-o-karam, fasahat-o-
shergoi, aur shujaat-o-bahaduri ki thiin. Aur mamlaat-e-hukumat main umda raye rakhtey they aur
woh khubsoorat aur khush seerat they.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 220, Al Islam by Imam
Zehbi Vol. 3 pg. 93)

Allama Ibn-e-Hajr Asqalani likhtey hain:

“ aur ibn-e-shozab ney biyan kya k main ney Ibraheem bin abi abad sey yeh baat suni hay woh kehtey they k main ney Khalifa Umer bin Abdulaziz ko Yazeed bin Mavia (Rehmatullah Alaih) per ‘Rehmatullah Alaih’ kehtey suna hay” (Lisaan-ul-Meezan Vol. 6 pg. 294)

Musab Zubairi (Rehmatullah Alaih) kehtey hain k:

“Yazeed (Rehmatullah Alaih) ek swaleh mard-e-mumin they” (Tehzeeb Vol. 6 pg. 300

Isi tarah Encyclopedia of Islam main likha hay k:

“ Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) hud darja haleem-o-kareem, sanjeeda, mateen, ghuror-o-
takabur sey mubbarra, apni zer-e-dast riyaya k mehboob, tazk-o-ehtishaam-e-shahi sey
mutannafir they. Aam sheharyoon ki tarah saada maashrat sey zindagi basar kerney waley aur
muhazzib insaan they.” (Encyclopedia of ISLAM pg. 1163)

Isi tarah Allama Ibn-e-Kaseer likhtey hain:

“Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney 51 hijri, 52 hijri aur 53 hijri main logoon ko Hajj keraya aur ameer-e-Hajj k faraiz anjaam diye” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg 229)

Sahih Bukhari ki hadees hay:

“NABI (SAW) ney fermaya k meri ummat ka pehla lashkar jo Qaysar k shehar Qustuntunia per jihad kerega un k liye Allah ki taraf sey Maghfarat hay” (Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410) “Qustuntnuia per sab sey awwal jihad Yazeed (Rehmatullah Alaih) bin Mavia (Razi Allah Unho) ney kya aur un k saath sadaat-e-sahaba misl Ibn-e-Umer, Ibn-e-Abbas, Ibn-e-Zubair, Abu Ayub Ansari (Rizwanullah Ajmain) aur ek jamaat thi” (Hashia Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410)

When Imam Ghazaali was asked if it was all right to curse Yazeed, he replied No. He was asked was it all right to say rahimahullah? He said Yes it is Mustahab (highly recommended).
[Qaid as Shareed min Akhbar e Yazeed pg 57-59].

Imam Ghazaali further said, Yazeed was a Muslim and when we pray for the Muslims Allhummagfirli Muslimineen was Muslimaat (O Allah forgive the Musilms men and women) he is also included in our prayers.
[Qaid as Shareed min Akhbar e Yazeed pg 57-59]

Source: (It is not available anymore but here is the url http://islamic-research-foundation.blogspot.com)

 
Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410
is reference pe mujy aesi koi hadees nahi mili kindly check it

Qaid as Shareed min Akhbar e Yazeed
ye book net pe nahi mili kindly provide kr den
 
Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410
is reference pe mujy aesi koi hadees nahi mili kindly check it

Qaid as Shareed min Akhbar e Yazeed
ye book net pe nahi mili kindly provide kr den
 
Yeh sab kharji logon ki bakwas hai. Yazeed ko yazeed paleed kehna chaye. Kharji aur rafdi log shuru se hi yazeed ko be gunnah sabit karne par tule huye hen. Yehi hi yazeedi tola hai. Kabhi puri hadees nahi lakhe ga. Bas Apne matlab ki likhe ga. Yazeed paleed hai. Agar in logon ne waqia Ulama Karam Aur Muhadiseen ki books parhi hon to inko illam ho ke yazeed fasiq, zani, haram cheezon ko halal karne wala aur beshumar aib aur gunnah karne wala tha. Us ko galat sabit karne ke liye sirf itna hi kafi he ke jis lashkar ki yeh log baat karte hen woh pehla lashkar Hazrat Abu Bakar Siddique R.A. ke daur e hukumat me hi qustuntuniya ki taraf ja chuka tha. Jahan Tak rahi Hazrat Ameer Muavia R.A. ke lashkar ki baat. To agar is lashkar ki baat bhi karen to yeh yazeed paleed us lashkar mein shamil nahin the jo Hazrat Ameer Muavia ne pehle bheja tha. Is yazeed paleed ko Hazrat Ameer Muavia R.A. ne dosray lashkar me bheja tha. Kyun ke is yazeed paleed ne pehle lashkar me jane se mana kar diya tha. Is ko baad me zabardasti bheja gaya tha. Yeh yazeed paleed hai, paleed hai, paleed hai. Aur yeh lannat ka mustahiq hai.
 
Is yazeed paleed ko jhoota sabit karne ke liye hadees ki books aur bare bare aima aur muhadiseen ki books bhari pari hain. Yeh karjion aur rafdiyon ki sazish hai jo yazeed paleed ko sacha aur Hazrat Imam Hussain Raddiallahu ta'aala anhu ko jhoota sabit karne par tule huye hain. Inko yeh lashkar wali hadees to yaad hai. lekin us ke likhne aur bayan karne me bhi munafqat se kam lete hain. Lekin Yeh nahin yaad ke Hazrat Muhammad S.A.W.W. ne farmaya hai ke ' Main Hussain Se Hun Aur Hussain Mujh Se Hai ' .............
SHAH AST HUSSAIN, BADSHAH AST HUSSAIN
DEEN AST HUSSAIN, DEEN PANAH AST HUSSAIN
SAR-E-DAD NA-DAD DAST DAR DAST-E-YAZEED
HAQ'QA KE BNA LAILLAHA AST HUSSAIN.
ISLAM ZINDA HOTA HAI HAR KARBALA KE BAAD.
 
Is begairti ko band karo aur allah say daro. Jo hazrat muhammad s.a.w.w. Ki aal aulad par zulam kare woh sirf aur sirf lannat ka mustahq hai. Aur yazeed paleed isi lannat ke qabil hai.
 
Download or read urdu book below http://www.scribd.com/doc/73737595/Waqia-Karbala-tareekh-ke-aine-me-Urdu-Book The view of Aima karam, Muhaddiseen and Islamic Scholars about Hazrat Yazeed bin Mu'awaia (R.A) Allama Ibn-e-Kaseer kehtey hain: “Ek dafa Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney Abdullah Ibn-e-Abbas (Razi Allah Unho) k saamney taqreer ki aur jab Yazeed (Rehmatullah Alaih) wahan sey uth gaye to Abdullah Ibn-e-Abbas (Razi Allah Unho) ney fermaya Banu Harb {Harb:Yazeed k perdada ka naam} aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) agar Duniya sey chaley gaye to Duniya sey Ulma uth jaayegein” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 229) Imam Zehbi aur Allama Ibn-e-Kaseer likhtey hain: “ Aur Yazeed (Rehmatullah Alaih) ki zaat main qabil-e-sataish sifaat halm-o-karam, fasahat-o- shergoi, aur shujaat-o-bahaduri ki thiin. Aur mamlaat-e-hukumat main umda raye rakhtey they aur woh khubsoorat aur khush seerat they.” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg. 220, Al Islam by Imam Zehbi Vol. 3 pg. 93) Allama Ibn-e-Hajr Asqalani likhtey hain: “ aur ibn-e-shozab ney biyan kya k main ney Ibraheem bin abi abad sey yeh baat suni hay woh kehtey they k main ney Khalifa Umer bin Abdulaziz ko Yazeed bin Mavia (Rehmatullah Alaih) per ‘Rehmatullah Alaih’ kehtey suna hay” (Lisaan-ul-Meezan Vol. 6 pg. 294) Musab Zubairi (Rehmatullah Alaih) kehtey hain k: “Yazeed (Rehmatullah Alaih) ek swaleh mard-e-mumin they” (Tehzeeb Vol. 6 pg. 300 Isi tarah Encyclopedia of Islam main likha hay k: “ Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) hud darja haleem-o-kareem, sanjeeda, mateen, ghuror-o- takabur sey mubbarra, apni zer-e-dast riyaya k mehboob, tazk-o-ehtishaam-e-shahi sey mutannafir they. Aam sheharyoon ki tarah saada maashrat sey zindagi basar kerney waley aur muhazzib insaan they.” (Encyclopedia of ISLAM pg. 1163) Isi tarah Allama Ibn-e-Kaseer likhtey hain: “Ameer Yazeed (Rehmatullah Alaih) ney 51 hijri, 52 hijri aur 53 hijri main logoon ko Hajj keraya aur ameer-e-Hajj k faraiz anjaam diye” (Albadaya Wannahaya Vol. 8 pg 229) Sahih Bukhari ki hadees hay: “NABI (SAW) ney fermaya k meri ummat ka pehla lashkar jo Qaysar k shehar Qustuntunia per jihad kerega un k liye Allah ki taraf sey Maghfarat hay” (Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410) “Qustuntnuia per sab sey awwal jihad Yazeed (Rehmatullah Alaih) bin Mavia (Razi Allah Unho) ney kya aur un k saath sadaat-e-sahaba misl Ibn-e-Umer, Ibn-e-Abbas, Ibn-e-Zubair, Abu Ayub Ansari (Rizwanullah Ajmain) aur ek jamaat thi” (Hashia Sahih Bukhari Vol. 1 pg. 410) When Imam Ghazaali was asked if it was all right to curse Yazeed, he replied No. He was asked was it all right to say rahimahullah? He said Yes it is Mustahab (highly recommended). [Qaid as Shareed min Akhbar e Yazeed pg 57-59]. Imam Ghazaali further said, Yazeed was a Muslim and when we pray for the Muslims Allhummagfirli Muslimineen was Muslimaat (O Allah forgive the Musilms men and women) he is also included in our prayers. [Qaid as Shareed min Akhbar e Yazeed pg 57-59] Source: (It is not available anymore but here is the url http://islamic-research-foundation.blogspot.com)
yazeed k bare me tarif ya tanqis se bacha jae. Ap tahqiq Karen. Dr zakir naik, dusre adyan se mutalliq qabile aitbar hen faqat.
 
Baaz log Dr zakir naik sahab k muqallid hen uski misal ye thread mani jae to beja na hoga
 
Doston, Yazeed k bare me khamosh rehna behtar he. RasulAllah s.a.w uske bhupa, walid aura dada sahabi aur wo khud ek tabi'i. Na uski tarif ki jae aur na lanat ki jae.
 
Last edited:
Doston, Yazeed k bare me khamosh rehna behtar he. RasulAllah s.a.w uske bhupa, walid aura dada sahabi aura wo khud eke tabi'i. Na uski tarif ki jae aur na lanat ki jae.


یہ بات غلط ہے کہ یزید پلید کے بارہ میں خاموشی اختیار کرنا چاہئے۔ جس آدمی نے فرزند رسول علیہ السلام کا نہ حق قتل پر راضی ہوا، اس پر ہم کیسے خاموش رہیں؟
امام اہلسنت احمد بن حنبل رحمت اللہ علیہ نے یزید کا بارہ میں ارشاد فرمایا کہ قاتل صحابہ تھا اور مدینہ پاک کی بے حرمتی کی۔ امام صاحب نے یزید پر لعنت تک جائز قرار دی اور اس کو لعنت کا مستحق سمجھا۔
 
Last edited:
^Yaqinan wo ek mutnaze shakhsiat tha. Uske bare me, musbit or manafi, dono tarah k aqwal milte hen jesa k OP me musbit aur apki post me manafi, jb muamla mashkuk ho, badihatan wazeh na ho to khamoshi behtar he. Usne Hz Husain ra aur unke rufaqa ko shaihd karne ka hukm nahi diya tha balki ye ubaidullah b zyad Jo Hz husain ra Ko baghi samjhta tha ne unko qatl krne ka hukm diya tha, . Yazeed ki ghalati ye thi k usne qatilane husain ko saza nahi Di. Aur jab Hz abdullah b zubair RA k khilaf hamla kiya tha to us waqt Hz husain RA k bete Hz a zainul abideen ra k bare me yazeed ne kaha tha k agar Hz ibn zubair RA ki taraf se jung Karen to unpar hamla na kiya jae sirf khud ka difa kiya jae goya k usko apni ghalati ka ahsas tha Jo Hz husain RA k muamle me hui thi.... har shakhs pane amal ka zimmedar he. Kya us par lanat bhejne se hame koi sawab milta he..? Nahi, Balki hame lanat ko Allah swt k same sabit krna hoga agar bach gae to thik warna mushkil me. Aur phir hadith me he mare k bare me bura na bolo. (Allahu Alam)
 
Last edited:

Similar Threads

Back
Top