What is your favorite urdu novel?

  • Thread starter Thread starter life
  • Start date Start date
  • Replies Replies 87
  • Views Views 44K
:sl:i read urdu novel since childhood umrooayiar and tarzan when i was kid then i got crazy about imran series when i was in college , now my favourite novel is PEER-e-KAMEL sallahlahalihaywassalm and LA'HASIL they both are umaira ahmed,s novel .i do like reading ashfaq ahmed , mumtaz mufti ,Qutrrat ullah shahaab .... nasem hijazi ky novel mjy mulam'ma kari main lipty nazar aaty hain ...

Just like me. Umroo pehle 3 rupee wali phir 6 phir 12 phir 18 rs wali lol then imran series the first one ever i read was called adventure mission then second was red circle i think. Now im madly into M A Rahat novels
 
All Nasim Hijazi's espicially Dastan-e-Mujahid , Shaheen & Ofcourse Yousuf Bin Tashfeen & Inayaat-ul-Allah Altamash Dastan Imaan Farashon Ki Of Sultan Salahhuddin Ayyubi is my all time favourite .
Umaira Ahmed's Iman Ummeed Aur Mohabbat & Peer-e-Kamil
FAZAIL-E-AMMAAL By shaikul hadith maulana mahummad zakariyya
& Hayat-us-sahaba By maulana mahummad yousuf inhain novals ke saatn nahin milaya ja sakta ... these r the best
wasalam
Jazakumullah Khair
 
Hey friends, I dunno if you'll consider it as a novel or not coz it's basically an autobiography but I feel it's not much different from a novel.

Shahaab Naamah by Qudratullah Shahaab
 
QUOTES FROM IBNE SAFI NOVELS

# Hum Sab kutte hain,koi kaat lene ki dhamki deta hai aur koi badee khamoshi se kat leta hai .

PURASRAR MAUJID


# Sharab se ijtenab humare culture ka lazmi juz tha ,maqasad yahi tha
ki neend ke alawa humara koi bhi lamha bekhabri men na guzre.
JONK AUR NAGIN





# Main kahta hoon !Agar tum qanon ko naqis samjhte ho ,to ijtemai koshishon se use badalne
ki koshish kiyon nahin karte .Agar iski himmat nahin hai to tumhen isee qanoon ka paband rahna padega .Agar tum ijtemai haisiyat se is ke khilaf awaz nahin utha sakte to iska matlab yeh hai kit um isse muttafiq ho.Ab agar muttafiq hone ke bawajood tum iske hudood se nikalne ki koshish karo to Tumhare saza maut hi hona chahiye.
LASH KA BULAWAH


# “To kiya wo fahisha thi?”
“Modern”….. “ In padhi likhi ladkiyon
ki Fahhashi art kahlati hai .Aur agar ye kisee se …….. taaluqat qayam Karen to ye fun kahlata hai …Arabi ka “Fan” nahin angrezi ka F , U , N.”

BECHARA/BECHARI


# “Haramkhori admi ko sangdil bana deti hai .”…………….. “Agar Ye ek imandar admi
ki tarah khud rozi kamata hota to iske bacche sharabi aur juari nahin hosakte the.
be mashaqqat hath aye hue paise admi ko shaitaniyat
ki
taraf le jate hain .”

PURASRAR WASEEYAT


#Admi jab Darindgi per utar ata hai to janwaron se bhi badtar ho jata hai . “kiya tumne kabhi kisee kutte ko dosre kutte ka gosht khate hue dekha hai?”
SANPON KA MASEEHA

# “Tum bahut narmdil ho Harman .”
Iseliye main tum per nazil kiya gaya hoon .Tum log isse liye paida hue ho
ki tyumhara ilm hum jaison ke kam aye .Tum men saree duniya per hukoomat karne ki taqat hai…..lekin tum is taqat se na waqif ho …,mujhe dekhna ….Main tumharee taqat ko kis tarah masraf men lata hoon .Rahamdil aadmi duniya men kuch nahin kar sakte .Ye lafz rahamdil darasl chalak buzdilon ka tarasha hua hai .
TOOFAN KA AGHWA


#Kisee afwah ko doosre tak pahunchane wala nadanisgi men dushman
ki madad karta hai . Is waqt qaumi yakjahti ki hifazat karma hi qaum-o-mulk ki sabse badi khidmat hogi …aisee afwahon ko apni zaat se age na badhne deejiye ..jise soobai taasub ya firqawariyat ka zahar phailne ka andesha ho.

HALAKOO & CO.

# Main muashire men allah
ki dictatorship chata hoon. Tum infaradee taur per apni halat sudharte jao …Phir dekho kitni jaldee aisa muashra ban jata hai jis per allah ki hakimiyat ho.
 
My all time favourite is ishq ka sheen by aleem ul haq haqqi...I have actually read it twice, can you imagine that? It is such an imaan refreshing novel. I recommend everyone to read it.

Has anybody read sholon ka kafan? Aik tareekhi novel.
 

Similar Threads

Back
Top