UNGLION K NISHAANAAT (FINGER PRINTS)

ALLAH TALLAH ka farmaan hai

“KYA INSAAN YE SAMAJH RAHA HAI K HUM USKI HADIYON KO JAMA NAHI KARSAKENGE.Q NAHI! HUM TOU USKI UNGLION KI POOR POOR TAK THEEK BANA DENE PAR QAADIR HAIN”
[SURAH-75,AYAH-3-4]


Darasal munkreen ye aitraaz laate hain k hum dobara zinda kaise uthaaye jaayenge jabke murda logon ki hadiyaan zameen mein gal sad ke be naam-o-nishaan hochuki hongi aur kis tarah har shaks alaida alaida roz-e-qayaamat ko pehchana jaayega? ALLAH TALLAH iske jawab mein farmaate hain k woh zaat-e-baari tallah na sirf in hadiyon ko jama karne pe qaadir hai balke woh in unglion ki pooree tak hu bahu az sar-e-nou takhleek karsakta hai.
KISI FARD KI SHANAAKHT KI TAEEN KE HAWAALE SE QURAN MAJEED Q KHAS TAUR PAR USKI UNGLION K NISHANAAT KO ITNI AHMEAT DETA HAI?
1980 mein SIR FRANS GOLT ki tehkeek k nateeje mein unglion k nishaanaat kisi shaks ki shanaakht ka sciensi tareeka kaar ban gaye. Poori dunya mein kahin bhi do insaano ki unglion k nishaanaat aik jaise nahi hain. Hamesha mukhtalif hote hain yahan tak k judwa bachon ke bhi unglion ke nishaanaat aik jaise nahi hote chaahe baaki jism aur chere k khad-o-khaal kitne hi yaksaa q na hon. Yahi waja hai k dunya bhar mein ab mujrimo ki shanaakht k liye police unglion k nishaanaat se hi madad leti hai.
14 sadiyaan qabal kis insaan ko ilm tha ke har fard ki unglion k nishaanaat munfarid hote hain? Yaqeenan khaaliq-e-baari taallah ke ilaawa kise maaloom tha jab usi ne unglion k nishaanaat juda juda takhleek kiye.