Sayeedana abu aseed maalik bin rabiya sa'adi razi allahu anhu se rivaayat hai unhonay farmaya: Iss douraan ke hum huzoor nabi e akram sallallahu ta'ala alaihi wa sallam ki khidmat mein haazir thay ke qabeela e bano salma ke ek sahaab haazir hokar arz guzaar huvay: Ya rasoolullah sallallahu ta'ala alaihi wa sallam! Kya mere waalidain se husn e sulook ka koyi amal baaqi hai jiskay zariye unkay wisaal ke baad unsay husn e sulook karoon? Huzoor e akram sallallahu ta'ala alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Haan! Unkay inteqaal ke baad husn e sulook ki surat yeh hai: Unki namaaz e janaaza padhna, unkay liye astagfaar karna, unkay baad unkay ahad ko naafiz karna aur unn rishtedaaron ke saath ta'aluq rakkhna jinsay unki wajah se hee ta'aluq rakha jaata hai aur unkay doston ka ehteraam karna. (sunan abu dawood, kitaabul aadaab, baab fi barul waalidain, safa 700, hadees no.5144).