Urdu General

  • Thread starter Thread starter Beardo
  • Start date Start date
  • Replies Replies 741
  • Views Views 158K
Mein aksar j ki jagah par g likh deti ho :D. Ye hi to problem hai roman english mein likhne se. Is se acha to English mein likhna hi hota hai.
 
Mein aksar j ki jagah par g likh deti ho . Ye hi to problem hai roman english mein likhne se. Is se acha to English mein likhna hi hota hai.

hota hai..hota hai
Meri behan bhi pehle kitchen ko chicken aur chicken ko kitchen kehti thi..
 
assalam o alaikum behno..
ye kiya nok jhonk chal rahi hay ap logo ki yahan :p
kiya hal hain sab k..??
rahila behna app apna nam kio badlna chah rahi hain.. thek to hay..
 
theek hai isliye Rahila ko sukoon nahi tha koi ajeeb sa naam rakhna chahti thi shayad .

Ye ajeeb nam hai?.Ye bahot hi achcha nam hai.Tumhe kuch pata nahi hai to bila wajhe mat boliye.Qurratulain ka matlab hai ankhon ki thanda ,Coolness of the eyes
 
:ooh:.

Kisi had tak theek hi hai jab se aap ne wo laal chehre post karna band kar diye :statisfie.
 
Brother AabiruSabeel kitne achche admin hain.Unhone mera nam badal diye:statisfie.Sirf 5% deduct kiye reps me se.Kitna asani mera nam badal gaya.5 kya 0 kar dete to bhi mai nam badalwa leti.
:anger:Aur ek Hyderbadi admin hain unko to kuch pooch jaye to kahenge ye admin ka kam nahi hai.Unko sirf private message padhna achcha lagta hai.
 
Qurratulain ka matlab is video me bahot hi achche tariqe se aur gehrai ke sath samjhaya gaya hai.

arabic language kitni achchi hai.Ek Ek lafz ka matlab bahot hi gehrai tak hota hai.
Inshallah mai ek na ek din seekh hi lungi.

Islamic Multimedia me wo vedio upload hai my favourite dua meaning of قراۃ العین
 
Last edited:
^ aap agar is tarah kisi bhi member ko pareshan karenge ya phir dhamki denge to hum sab aap ki shikayat kisi aur bade admin se kar denge.
 
:ermm:
Ab zyada buraai karogi to phir se purana naam (Rahila) restore kar doonga
Rahila in bekar ki dhamkiyon se nahi darti.Ye dhamki kisi aur ko jakar dijiye ga.
Ye smiley bar bar post kiyon karte hain.Thik hai hum purane member hain to hame pata hai ki ye aap ka Takiyakalam.hai lekin naya member bechara confuse ho jayega.Kiyon ki is smiley ko dekhkar aisa lagta hai..koi bechara ,confuse,jisko logo ki sympathy ki zaroorat hai.

Aabirusabeel bhi ek Hyderabadi Admin hai.

yahan kitne hyderabadi hain..kuch dino me Ib ka nam Hyderabadis .com ho jayega
 
:sl:
Kya haal hai...kya chalra hai yahan? Ye Qurratulain kaun hai? is she the same angry woman? ;D

Mai bhi Hyderabadi hoon. :statisfie
 
ch..ch..ch.. kitni buree baat hay.. bilkul bacho ki trah lar rahay hain aplog... adab adaab lihaz sab ghayab...
koi kaam ki baat nazr nahi a rahi yahan.. ager is thread ka ab yehe maqsad reh gya hay to mairay khayal may to isko band ker daina chahye...
 
^ Aur jo hydrerabad ke nahi wo kaha jayenge :unhappy:.

See who's talking

^o) Our sister muslim haya is talking :D. She is trying to make us realize that we are talking useless things.

koi kaam ki baat nazr nahi a rahi yahan..

Please koi unwaan dejeye inshallah phir se ye thread ka koi faida hoga :astagfiru.
 
Last edited:
Please koi unwaan dejeye inshallah phir se ye thread ka koi faida hoga .;D
Last edited by Innocent Soul; 41 Minutes Ago at 05:10 PM.
Unwan dekar kya faida waise tum kahan kuch likhti ho..:mmokay:
Apka signature bahot achcha hai..:statisfie
 
Who's this Safiya. I have seen her previous posts in this thread. Or she is an old member :?

Aaj mera likhne ka mann kar raha hai. Mujhe bas jo likhne ka mann kar raha hai mein likh rahi ho. Isliye is ka koi unwaan nahi hai. Mein ne kuch kahawate bhi yaha par pesh ki hai. Thoda zyada lecture ki tarah hoaya hai :X.

Itehaad ki ma3ni hai mil jul kar rehna. Aksar mein ne dekha hai ke logon ka khayaal hai ki itehaad ka matlab sirf apne mulk ya phir apne mazhab ke logon ke saath achi tarah pesh aana hai. Lekin itehaad ka asal matlab mere khayal se har insan chahe wo kisi bhi mulk ya shehar ya mazhab ka ho ek dosri ki akhtelafaat ko bhol kar ek dosre se acha sulook karna.

You must not lose faith in humanity. Humanity is an ocean; if a few drops of the ocean are dirty, the ocean does not become dirty.

Dunya mein kuch log hai jo dosro ke bare mein nahi sochte lekin ye zarori to nahi ke hum ache kaam tabhi kare agar koi hamari taareef kare ya hum se wesa hi sulook kare. Insan ki ye ek sift hoti hai ki wo aksar dosro ke baare mein kuch na kuch sochta rehta hai chahe wo bura ho ya acha. Har insaan ko apne dunya mein aane ke maqsad mein ye bhi shamil karna chahiye ke wo dosro ki madad kare. Agar kuch logon ko dekhkar us ke dimag mein khayal aata hai ki ye kitna bure hai dosro ko takleef pohonchate hai to usse ya to usse sudharne ki koshish karni chahiye lekin phir bhi wo apne aap ko nahi badalna chahta hai to ham me ye khobol kar lena chahiye ke Allah Taa'la ne usse aesa banaya hai.

Keep yourself busy in remembering your faults, so that you have no time left to remember the faults of others.

Insan ke dil me kabhi kisi ke liye koi shikayat nahi honi chahiye hame dosro ke liye nahi wahi sochna chahiye jo hum apne liye sochte hai. Agar hum sirf apne bari mein sochenge to kya hoga hum neki ya burai karenge hume us ka ajar milega. Neki karna mushkil nahi hai insan ko Allah par bharoosa hona chahiye ke mein ye jo kar raha aap is ka ajar mujhe dene wale dunya wale humari nekiyon ko bhol jayenge. Allah ka khouf hi insan ko gunaho se bacha sakta hai.

Change your thoughts from, "what's in it for me?" to "how can I help?" - this is one of the keys to success.

Only those people live who live for others.

It is arrested on the authority of Anas b. Malik that the Prophet (may peace and blessings be upon him) observed:
one amongst you believes (truly) till one likes for his brother or for his neighbor that which he loves for himself.
(Sahih Muslim: Book #001, Hadith #0072)

Dosro mein sirf achai par khaur karna chahiye aur burai ko bhol jana chahiye. Agar insan Allah ke siwa kisi bhi insaan ko dekhega use usme koi na koi kami zaror dikhegi.
 

Similar Threads

Back
Top