Urdu General

  • Thread starter Thread starter Beardo
  • Start date Start date
  • Replies Replies 741
  • Views Views 158K
@ innocent soul..

ap ki post say bahadur shah zafer ka ik shair yaad a raha hay

na thi haal ki jab hamain apnay khaber, rahay daikhtay ooron k aib-o-hunar
pari apni buraiyo p jo nazr, to nigah may koi bura na raha....
 
kuch dino se kuch mujhe Ib par dikhai de rahen hai..Bahot gussa a raha hai.post karne ke bad wo foran post nahi hota hai.(sirf urdu forum ke siwa).Ek bar do din ke bad post hua??
Ye sab kya hai.
 
:anger:ye kya phir se badal diya forum ko.?
kal site open kiyon nahi ho rahi thi?Kaun hai is site ko chalane wala..
 
safiya kiyon na aap "Barish rehmat hai ya zehmar par "mazmoon lkihe?
Kya khayal hai.
 
imagesqtbnANd9GcTjQyZsmwL0WILrEbqvYrDVxC-1.jpg

Aap sabhi ko Ramadan mubarak.Inshaallah aaj chand dikh jayega.Aur ramadan ka babarkart mahina shuroo ho jayega.Allah kare hum is mahine ki tamam barkaton ka pura faida uthayen.Ameen .:statisfie
 
Inshallah agar kabhi fursat mili to :hiding:. Ab to Ramadan bhi shuru ho gaya hai :) isliye waqt nahi milta hai zyada :exhausted. Kitna mushkil hota hai IB ke bina rehna mera matlab hai kamaz kam ek baar to visit karna :D.
 
نہیں کھیل اے داغ یاروں سے کہہ دو
کہ آتی ہے اردو زباں آتے آتے
 
Aap logon ke roze,Traweeh ki namaz kaise ja rahe hai..Ummeed kkarti hun achche hi ja rahe honge..
Is bar to bilkul bhi roze pata hi nahi chal rahe..Mausam bhi thanda hai..Pyas ,bhook kuch pata hi nahi chal raha hai..:statisfie
 
^Alhamdulilah rozay achay ja rahay hain..
jahan tak mosam ka talluq hay wo to 40 degree say uper hi hay bt ALHAMDULILAH gher say nikalna hi nahi hota siwaye taraweeh ya quran class k..
islie mosam itna asrandaz nahi hota...:sunny:
 
Alhamdulillah rozein to ache chal rahe hai kyunki aap ko to pata hoga ki yaha par zyada garmi nahi hai. Ibteda mein taraweeh padhte waqt kaafi neend aa rahi thi :hiding: lekin alhamdulillah ab zyada nahi aa rahi hai :D. Mujhe aksar rozon mein agar taateel rahi to bohot mushkil lagta hai :phew. Aaj kal to iftari banate waqt hamesha iftari ki taraf haath jata hai yaha tak ke haath mein iftari aa bhi jati hai :skeleton: phir yaad aata hai ki hum roza hai :heated:.
 
Ibteda mein taraweeh padhte waqt kaafi neend aa rahi thi lekin alhamdulillah ab zyada nahi aa rahi hai . Mujhe aksar rozon mein agar taateel rahi to bohot mushkil lagta hai .
Traweeh me neend ??
Mujhe to bilkul nahi ati..albatta mai lagatar traweeh me concentrate nahi ka pati.Isliye thodi namaz ke bad thodi der tahel kar ,ek do kamre me round laga leti hun..Phir padhti hun..Isse fresh ho jati hun aur concentration bhi bana rehta hai..:sunny:
islie mosam itna asrandaz nahi hota...
40 degree ..Aap ko phir bhi mausam se takleef nahi..:exhausted
Middle east me rehti hain..Lucky to aap ko arabic language :wub: aati hogi na??mujhe sikhaengi kya
 
Last edited:

Similar Threads

Back
Top