Urdu General

  • Thread starter Thread starter Beardo
  • Start date Start date
  • Replies Replies 741
  • Views Views 158K
assalam o alaikum

Allah tala hmsb ko imaan or sehet ki behtreen halat ata farmye... ameen

SUBHANALLAH! Ramzan ka babarkat mahina ik bar phr hamari zindagio may ikhtimam ko pohonch gya or ham bherpur jismani or zehni mashq k baad phr maidan e amal may wapas a chukay hain..

umeed hay ap logo nay is mahinay say khub khub faida uthaya hoga or apnay meezan e amal ko khub wazni ker liya hoga... Allah tala hamray amaal ko qabool farmey..ameen

sab say pehlay to sab ko eid ki dhair sari khushiyan mubarak..(halan k eid to ab kafi purani hogai hay:hiding:)...

maira khayal hay ab yahan urdu seekhnay seekhanay wala kaam phr shuru kertay hain.. kiya khayal hay.. kahan gaye saray asatza or talib ilm... eid ki chutiyan khatam..!!
 
Last edited:
^ Ji ustaadni mein tayaar ho :p. Ab bas Qurattulain ka intezar karni ki zarorat nahi hai :nervous:. Meherbani kar ke hum apni padhai shuru karte hai :shade:.
sab say pehlay to sab ko eid ki dhair sari khushiyan mubarak..(halan k eid to ab kafi purani hogai hay)...

Aap ko bhi Eid Mubarak :). Der aaye durust aaye :D.

Saari Duao par Ameen :><:.
 
assalam o alaikum

Allah tala hmsb ko imaan or sehet ki behtreen halat ata farmye... ameen

SUBHANALLAH! Ramzan ka babarkat mahina ik bar phr hamari zindagio may ikhtimam ko pohonch gya or ham bherpur jismani or zehni mashq k baad phr maidan e amal may wapas a chukay hain..

umeed hay ap logo nay is mahinay say khub khub faida uthaya hoga or apnay meezan e amal ko khub wazni ker liya hoga... Allah tala hamray amaal ko qabool farmey..ameen

sab say pehlay to sab ko eid ki dhair sari khushiyan mubarak..(halan k eid to ab kafi purani hogai hay:hiding:)...

maira khayal hay ab yahan urdu seekhnay seekhanay wala kaam phr shuru kertay hain.. kiya khayal hay.. kahan gaye saray asatza or talib ilm... eid ki chutiyan khatam..!!


wa alaiakum as salam saree duuan par ameen, app ku bhi eid Mubarak,


wasay may class may nahi ayon gi, mujhay urdu kafi ati hae, es liyae class say skip karo gi
 
^ Aap hamari asaatiza mein shamil ho sakti hai :).



Galti ho gayi :embarrass. Maaf kar dejeye Inshallah phir se galti nahi karongi :hiding:.


Innocent tumhari urdu itni kamzoor kiu hae, itni teachers say pardhu gi tu kia hu ga? kia aik teacher kafi nahi?
 
SABR KA PHAL BAHOT MEETHA HOTA HAI.;D
Ab samajh me aya sister's section me jane ke liye 300 post kiyon complete karne padte hai.:shade:
HA Ha:shade:
Sabse achchi bat wahan koi admin nahi hai hamari baten padhne ke liye.:p
 
Sssh! :nervous:. Sabr hi to nahi kar rahi thi aap :).

Sabse badi baat waha par brothers nahi rehte hai :hiding:.

vistory.jpg
 
SABR KA PHAL BAHOT MEETHA HOTA HAI.;D
Ab samajh me aya sister's section me jane ke liye 300 post kiyon complete karne padte hai.:shade:
HA Ha:shade:
Sabse achchi bat wahan koi admin nahi hai hamari baten padhne ke liye.:p


blkgreetings3-1.gif




Mubarak ho 300 posts complete karnay ki. mujhay abhi takreeban 100 posts complete karni hae, 300 posts kay liyay
 
Mubarak ho 300 posts complete karnay ki. mujhay abhi takreeban 100 posts complete karni hae, 300 posts kay liyay
Jazakallah !aap 250 post pure hone par bhi sister's join kar sakti hain.
Jaldi aiye bahot maza ayega.....:D..:nervous:
 
Jab se maine sister's section join kiya hai....urdu general khamosh ho gaya hai.........:D
Jab mai post karti thi to kehte the ki befaida bemafad baten karti hun.......Aur abto sab ne jaise maun vrath rakh liya hai..........
Chalo ye sawal ka jawab batao........ye bhi sister's section me poochne wali thi lekin.....maine socha chalo urdu me hi poochti hun.
..
..
Ek kamre me teen bulb hai.aur aap doosre kamre me hain.wahan par teeno bulb ke liye teen switch hain.Lekin bulb wala kamra bilkul band.(opaque)hai.aap ko pata nahi hai ki kaun sa switch kaun se bulb ka hai.aapko teeno bulb ka switch maloom karna hai.....
Chalyi thodi mushkil asan kar deti hun.....
Aap ek bar bulb wale kamre me ja sakte hain.koi bhi bulb ka switch ya switches on karke....lekin sirf ek bar..
 
^ ye bohot mushkil sawal hay:skeleton:

khair may to yahan kuch puchnay ae the..

is there any program available online which can convert roman urdu into urdu script at once (not that word by word coverting)..?
 
Ek kamre me teen bulb hai.aur aap doosre kamre me hain.wahan par teeno bulb ke liye teen switch hain.Lekin bulb wala kamra bilkul band.(opaque)hai.aap ko pata nahi hai ki kaun sa switch kaun se bulb ka hai.aapko teeno bulb ka switch maloom karna hai.....
Chalyi thodi mushkil asan kar deti hun.....
Aap ek bar bulb wale kamre me ja sakte hain.koi bhi bulb ka switch ya switches on karke....lekin sirf ek bar..

Post the answer please :)
 
Nahi ki thi. Lekin ab kar li

Kisi ek bulb ka switch on karo aur baqi ke dono bulbs ka switch pata chal gayega :unsure:.
 
assalam o alaikum

umeed hay sab sehet or imaan ki behtreen halat may hngay

jab koi achi baat perhee ya sunee jaye to usay agay phailana chahiye takay ziayad say ziyaad loog is say mustafeed ho sakain (or chiragh ki roshni ik hi fard tak mehdud na reh jaye :p). is maqsad k liye may is thread say faida utha rahi hn :)

kuch arsa pehlay ik kitaab k mutallay k doran ye hissa nazro say guzra. ye aik aisa rawaya hay jis ka samna her dai-e-haq ko kerna perta hay

آدمی کا ہر ہر بول اور اس کا انداز گفتگو اس کی سیرت کا اس طرح ترجمان ہوتا ہے جس طرح کھانےکی کسی دیگ میں اس کی خوشبو پھیل کر دور دور تک کھانے کی نوعیت اور اس کے مصالوں کے معیار کا اعلان کر دیتی ہے. اب اگر کسی دل و دماغ کی دیگ سے بدزبانی اور بدتمیزی کی سرانڈ اٹھ رہی ہو تو کیسے توقع کی جا سکتی ہے کہ اس کے اندر پاکیزہ خیالات اور شریفانہ جذبات سے ترکیب پا کر کوئی اعلیٰ سیرت پک رہی ہوگی
جب کسی شخص کو دیکھو کہ وہ اختلاف کرنے والوں ک خلاف بدزبانی اور بدتمیزی کی سطح پر اتر آیا ہے تو سمجھو کے اس کے مقابلے میں دلیل کی بازی بھی ہر چکا اور اخلاق کے مقابلے میں بھی شکست کھا چکا. اب یہ ہرا ہوا کھلاڑی محض دل کا بخار نکال رہا ہے اور دل کا بخار نکالنے والی طاقتیں تاریخ میں کوئی اثر نہیں پا سکتیں. وہ بس دل کا بخار نکالتی رہتی ہیں اور تعمیری دعوتوں کے قافلے گام گام آگے بڑھتے چلے جاتے ہیں


is ibarat say jo do batain may nay akhaz ki(nikali) wo ye hain

kisi guftugu ya behes k doran akhlaq k dairay say wohi shakhs baher nikal ata hay jisay apni baat k durust honay ka yaqeen na ho ya phr mukhalif ki baat ki sachai per yaqeen to ho laikin usay jhutlanay per tul jaye.. hamain akser apnay atraaf may aisay rawaye ka samna kerna perta hay. is k liye hamain ye baat yaad rakhni chahiye k ye wo afraad hain jo khd to jaan bujh ker andhay behray ban jatay hain or ye chahtay hain k ham bhi un k sath ulajh ker apna asal maqsad faramosh ker dain (bhool jain)

dusri baat ye k hamara ikhlaq darasal hamaree dawat ka aks hay. dawat e deen k kaam may andaz e guftugu, ikhlaq, mukhafaat kay izhar ka tareeqa ehm kirdar ada kerta hay..
Allah tala hamin behtreen ikhlaq ata farmaye.. ameen
 
Last edited by a moderator:
Jazakallah Khair! Mashallah :statisfie you know how to bring people on the right track :D. Please post urdu text in large size at least of this size (6 size).


آدمی
 

Similar Threads

Back
Top