Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
Ae khuda tu apne iss bande ki madat kar
Humari zindagi to na sahee, humari aakharat achi bana
 
:sl:
unchay unchay namoon ki takhtiyan jala deyna
zulm karnay walon ki wardiyan jala dayna
moot say jo dar jao zindagi nahe miltee
jang jeetna chaho to kashtiyaan jala deyna

(is shayr ki history yeh hai kay jab tariq bin ziad spain fatah kernay kay liay marakash say spain through ships gay thay to spain pohnch ker unho nay apni army ko order dia tha kay sub kashtiyaan (ships) jala do ...fatah ho gi ya shahadat ...wapsi ka raasta nahe...)

next is alif
 
Asalam u Alikum

abb hujra sufi main woh fiqar nahi baqi
khoon e dil sheyraa ho, jiss fiqar ki dastawaez
ay halqa darwaeshaan woh mard e khuda kaisa!
ho jiss kay garaybaan main haangamah rastakhaaz!

next zay
Walikum as Salam
 
:sl:
zindagi hai yaa tufaan hai koi,
ham to iss jinay kai hathon mar chalay..
next: yay
and a random shayr:
ashqon kai jugno'on say andhera na jai ga,
shab ka hisar tor, koi aftaab la...!!
 
Asalam u Alikum

yeh dil kah khoon howay barja na tha wogarnah
woh koonsi jagah thee uss ko janhaan nah paya

next alif
Walikum as Salam
 
Asalam u Alikum
wasay gr8man sahab yeh sirf aik misra hay pura shaiyr likha karain
phir bhi noon say shaiyr hazir hay janab

nomeed na ho in say ay rahbar e farzana
kum koosh tu hain lakin bey zookh nahi rahee

next yee
Walikum as Salam
 
:sl:

ye qaul kisi ka hai k, maen kuch nahein kehta
wo kuch nahein kehta, maen kuch nahein kehta

Next alif
:w:
 
:sl:


AankheN khuleeN to jaag uTheeN hasrateN tamaam
Uss ko bhi khoo diya jissay paya tha khwaab mein

Next noon




:w:
 
Asalam u Alikum

Naqsh tuheed ka hir dil pah bethaya hum nay
zeer e khunjar bhi yeh peghaam suaya hum nay

next yee
Walikum as Salam
 
:sl:


Ye kesi khawaab say jaagi hein aankhein
K kisi manzar pe bhi dil jamta nahein hai.

Next ye

:w:
 
Ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lauTaa do bachapan kaa saavan
vo kaaGaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii


"Sudarshan Faakir"
 

:sl:
Yeh pukar saare chaman mein thi, woh sehar hui woh sehar hui
Mere aashiyyan se dhooan utha, to mujhe bhi iski khabar hui."




:w:




 
:sl:

Dard Hi Kia Jo Aankhon Say Beh Jai
Khushi Hi Kia Jo Hoonthon Pay Reh Jai
Kabhi Tu Samjho Meri Khamooshi Ko
Woh Baat Hi Kia Jo Alfaz Asani Say Kehi Jai


:w:
 
:sl:

Ye bhi sach hai ki mohabbat meiN nahiN maiN majboor
ye bhee sach hai ki teraa husn kuchh aisaa bhi naheeN



:w:
 
:sl:

Yaadoun ki dhund main aapki parchai si lagti hai
Kaanoun main gunjti sehnai si lagti hai
Aap kareeb hain to apnapan hai
Warna seene mein saans bhi parai si lagti hai..!


:w:
 
:sl:

yeh tujh ko jaagty rehney ka shouq kab se hoa:?
mujhey to khair teraaa intezar karna hai.....:sister:



:w:
 

Similar Threads

Back
Top