unchay unchay namoon ki takhtiyan jala deyna
zulm karnay walon ki wardiyan jala dayna
moot say jo dar jao zindagi nahe miltee
jang jeetna chaho to kashtiyaan jala deyna
(is shayr ki history yeh hai kay jab tariq bin ziad spain fatah kernay kay liay marakash say spain through ships gay thay to spain pohnch ker unho nay apni army ko order dia tha kay sub kashtiyaan (ships) jala do ...fatah ho gi ya shahadat ...wapsi ka raasta nahe...)
abb hujra sufi main woh fiqar nahi baqi
khoon e dil sheyraa ho, jiss fiqar ki dastawaez
ay halqa darwaeshaan woh mard e khuda kaisa!
ho jiss kay garaybaan main haangamah rastakhaaz!
zindagi hai yaa tufaan hai koi,
ham to iss jinay kai hathon mar chalay..
next: yay
and a random shayr:
ashqon kai jugno'on say andhera na jai ga,
shab ka hisar tor, koi aftaab la...!!
Ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lauTaa do bachapan kaa saavan
vo kaaGaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii
Yaadoun ki dhund main aapki parchai si lagti hai
Kaanoun main gunjti sehnai si lagti hai
Aap kareeb hain to apnapan hai
Warna seene mein saans bhi parai si lagti hai..!