khubsurat kalam

  • Thread starter Thread starter azc
  • Start date Start date
  • Replies Replies 85
  • Views Views 10K
Kambakht ankh uthi hi nahi unke rubaru : ham unko jante hen peh chante nahi
 
Mil ja'en abad se mere Allah ye lamhen : wo dekh rahe hen mujhe manoos e nazar se
 
Abhi na jao zara thehro : bat dil ki abhi to baqi he
 
Last edited:
Aap sukh se hen tarke talluq ke bad : itni jaldi na ye fesla kijiye
 
Sab jante hen jisko hamare kahe baghair : wo ek bat aap hi se keh na sake ham
 
Din zindagi ke kat gae dar par khare khare : wo kehgae the lot ke aane ke waste
 
Apne bhi naqshepa jahan dekhe : hoke guzre na us muqam se hum
 
Muskurana kise aziz nahi : darte hen gham ke intqam se hum
 
Hazar tarke ta'alluq ka ahatmam kiya : magar jahan wo mile dil ne apna kaam kiya
 
Kabhi hua Jo unhe mere dard ka ahsas : mira naseeb pukara ke dekhta hundred main
 
Ajal khumar mira aake kya bigadegi : ke mot aane se pehle hi mar chuka hun main
 
Kese kese mehshar khamosh hote hen bapa : jab bazahir do dilo me rabta hota nahi
 
Haaeye wo dil mujhe us dil pe taras aata he : tune barbad kiya jisko na aabad kiya
 
Gham se baz aaye the khushi ke liye : do hi din me khushi se baz aaye
 
Hansi he ke roke nahi ruk rahi he : chala hun kisi ko ghame dil sunane
 
Ek aansu keh gaya sab hal dil ka : main samjha tha ye zalim bezuban he
 
Jab kiya usne piyar se inkar : sharme inkar par hansi aayee
 
Hoti nahi qubool dua tarke ishq ki : dil chahta na ho to dua main asar kahan
 

Similar Threads

Back
Top