khubsurat kalam

  • Thread starter Thread starter azc
  • Start date Start date
  • Replies Replies 85
  • Views Views 10K
Hum jispe mar rahe hen wo he bat hi kuchh aur : alam me tujhse lakh sahi tu magar kahan
 
Isi roz o shab me ulajh ke na reh ja : ke tere zaman o makan aur bhi hen
 
Tu shaheen he parvaz he kam tera : tere samne aasman aur bhi hen
 
Jeena bhi aagaya mujhe marna bhi aagaya : peh'channe laga hun tumhari nazar ko main
 
Aisa nahi ke unse mohabbat nahi rahi : jazbat main wo pehli si shiddat nahi rahi
 
Besaharon ka hosla hi kya : ghar main ghabraey dar pe aa bethe
 
Tha mere aghosh main wo paikare husno shabab : ya zamin ki god main tha asman kal rat ko
 
Bala se mera gham na ho unpe zahir : jab aaeynge wo mukurana parega
 
Mujhko hona tha pareshan main pareshan ho gaya : is main teri kya khata he tu kyon pareshan ho gaya
 
Merit tarah do din to jike dhikaeyen : meri maikashi ko hawa dene wale
 
Khuda mahfuz rakhe har bala se : kai din se tabiyat shadman he
 
Sukun hi sukun he khushi hi khushi he : tera gham salamat mujhe kya Kami he
 
Naseh nawazishen hen ye kambakht ishq ki : warna hum aur sunte bhala yun kisi ki bat
 
Gham bhi hamse bari khushi se mila : hambhi ghamse bari khushi se mile
 
Kar liya sabne hamse kinara magar : ek naseh gharib aate jaate rahe
 
Jane na dunga apko sunne ka main nahi : baten banake wasl ka wada na taliye
 
Nazuki uske lab ki kya kahiye : pankhuri ek gulab ki si he (meer)
 
Kisi ke mahrame aabe rawan ki yad a'ee : habab ke barabar Jo kabhi habab dekha (aatish)
 
Kya nazakat he Jo tora shakhe gul se koi phul : aatishe gul se pare chhale tumhare hath main (ameer mina'i)
 
Aur mastaniyan wo hoti hen : marduon par Jo Jan khoti hen (mirza shoq)
 

Similar Threads

Back
Top