Tumhara Kaam Ye He K Us Kareem K Darwaze Ko Khat-Khatate Raho, Kyn K Jo Darwaze Par Dastak Deta Rehta He Zarur Khol Diya Jata He.....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 69
insan Pahad Ki Tarah Mustahkam ( Mazbut) Ho, Jise N Toofan Junbish De Sake, N Zalzala Hila Sake, Mere Bhai ! Dil Ko Mazboot, irade Ko Mustahkam Aur Tabiat Ko Mustaqil Mizaj Banaye.....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 69
Koi ibadat Aesi Nahi He, Jis Me Taqayyudat (Waqt ki Pabandi) Na Ho, Magar Zikr K Liye Koi Qed (Waqt Ki Pabandi) Nahi He, Aur Azkar Jis Qadar Bhi Mumkin Ho Matlub He....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 68
Allah Ta’ala Ko Jo Manzur Ho Us Par insan Ko Khushi Se Razi Rehna Chahiye, Warna Ba-Majburi Razi Hona Padega. Allah Ta’ala k Hukm k Samne To Anbiya Alayhimus-salam ko Sar Jhukana Padta He, Aur Bager Manne k Chara Nahi Hota.:...Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) pg : 67
Jo Kaam islah ka Ho Aur Shaitan ki Khwahishat k Khilaf Ho Us Me Tabiat Ka Ghabrana Aur Nafs Par Bojh Padna Zaruri He, Magar istiqlal Aur Mudawamat Se Aahista Aahista Us Me Aasani Ho Jati He:...Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 67
Dunya Me Hum Paak W Saaf Ho Jae. Aur Aakhirat Ki Takaleef Se Hamari Rustgari (Chutkara) Ho Jae To intihayi Kaamyabi He.:...Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) pg : 66
Dunya Me Takaleef Khwah Kisi Qism Ki Ho, Ahl e Emaan Ke Liye Ne’amaten He. Kaffar e Syyiaat He, Rafa e Darjat Ke Zarayea He.:....Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 66
Chun k Dunya Darul Asbab He, Agar Ma’aash Ki Tangi Se Fikr e Ma’aash Ho To Us Ko Dunya Ki Mohabbat Nahi Kaha Ja Sakta, Dunya Khuda Se Gaflat Ka Naam He.;...Malfuzat e Hazrat Madni (Ra) Pg : 66