Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
:sl:
A short poem

her aik bashar nai maut ko pana hai aik din
ruhon nai her libaas gawana hai aik din
koshish kero kai dil kai niger main ba wuzuu rahain
in bastion main sar ko jhukana hai aik din
fani jahan sai rabt barhana fazool hai
fani jahan ko chor ker jana hai aik din
dunya ki runqon main gum ho na meray dost
dunya ka her muqam bhulana hai aik din!!!
 
:sl:

gharibi main hoon mahsood amiri
kah ghayrat mand hay mari fakiri
hazar is fakar o darwashi say, jiss nay
musalmaa ko sikha di sir baziry!


غریبی میں ہوں محسود امیری
کہ غیرت مند ہے میری فقیری
حذر اس فقر و درویشی سے، جس نے
مسلماں کو سکھا دی سر بزیری


:w:
 
:sl:

کہا اقبال نے شیخ حرم سے
تہ محرابِ مسجد سو گیا کون
ندا مسجد کی دیواروں سے آئ
فرنگی بت کدے میں کھوگیا کون


kaha Iqbal nay sheikh haram say
tahe mehraab e masjid soo gaya koon
nida masjid ki deywaroon say aee
farangii bout kaday main khogaya koon ?


:w:
 
:sl:

ترے دریا میں طوفان کیوں نہیں ہے
خودی تیری مسلماں کیوں نہیں ہے

عبث ہے شکوہ تقدیر یزداں
تو خود تقدیر یزداں کیوں نہیں ہے



taray darya main tufaaa kiyon nahi hay
khudi tari musalma kiyon nahi hay

abasz hay shikwah taqdeer yazdaan
tu khud taqdeer yazdaan kiyon nahi hay


:w:
 
Kabhi Kisi ko mukamil jahan nahi milataa
kahi zamin to kahin asamaan nahi milaataa

jise bhi dekhiye woh aapne aap mein gum hain
Zubaan mili hai magar humazubaan nahi milataa

bujhaa saka hai bhala kun waqt ke shole
ye aisi aag hai jisame dhuaan nahi milataa

tere jahan mein aisa nahi ki pyar na ho
Jahan umeed ho isaki wahan nahi milataa
__________________
 
Jaan hai mujko zindagi se pyari
Jaan ke liyeh kardu kurbaan yaari
Jaan ke liyeh thor dun dosti tumhari
Ab tumse kya chupana dost...
Tum hi to ho jaan hamari :wub:
 
Jaan hai mujko zindagi se pyari
Jaan ke liyeh kardu kurbaan yaari
Jaan ke liyeh thor dun dosti tumhari
Ab tumse kya chupana dost...
Tum hi to ho jaan hamari :wub:

bahut khoob sis :)

aik aur shair dost kay naam

Dua kartay hain hum sar ko jhukai
Dost tu apni manzil ko payai
Agar tere rahoon mein kabhi andhairay chai
Tu roshni kay liye khuda mujhay jalayai
 
:sl:

yes nida means awaz deyna

abaz = beyfaida useless

Yazdaan = lord

:w:
 
jihadbm3.gif
 
:sl:

Uthd kah khursheed ka samaan safar taza karain
nafaz sokhtaae sham o sahar taza karain

:w:
 
:sl:

تو نے کیا دیکھا نہیں مغرب کا جمھوری نظام
چہرہ روشن، اندروں چنگیز سے تاریک تر



tu nay kiya deykha nahi maghrib ka jamhori nizaam
chehra roshan, andaroon changanzi say tariekh tar!
 
:sl:

"Verily never will Allah change the condition of a people until they change what is in themselves."(Sura Al-Rad 13: 11)

خدا نے آج تک اس قوم کی حالت نہیں بدلی
نہ ہو جس کو خیال آپ اپنی حالت کے بدلنے کا



Khuda nay ajj tak us qoom ki halat nahi badli
na ho jiss ko khayal apni halat kay badalnay ka

(Mulana Zafar Ali khan)



:w:
 

Similar Threads

Back
Top