Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
:sl: na kar shikwa, yey dunya bewafaa hai
kho jo uski yaad mai jo sub ka khuda hai :w:
 
Ahsaas e Amal ki cinghari jis dil nay firoozaan hooti hay
us lab ka tabassum heera hay us aankh ka ansoo mooti hay
 
:sl:

Ay ahel e nazar zook e nazar khoob hay lakin
jo shay ki haqeqat ko na samjhay woh nazar kiya ??

:w:
 
87715188jq3.gif
 
:sl:

haq jitna tumhara hai utna hi hamara hai
gulshan pe haqeeqat mein dono ka ujara hai

kuck din se na jane kyun ye hal hamara hai
har sock tumhari hai har khwab tumhara hai

yeh waqt ki gardish ab ae kash theher jaye
us ko badi mushkil se sheeshe mein utara hai

har shakhs yeh kehta mil jul ke rahe hum sub
mil jul ke magar rehna kab kis ko gawara hai

rehta hai aseer e gham jo bazme tarab mein bhi
maqtool ana hai ya halat ka mara hai

hum kaise waseem uski baton pe yaqeen karlen
tinke ka sahara phir tinke ka sahara hai

:)


:w:
 
:sl:

outhe kah khursheed ka saman e safar taza karain
nafaz e soukhta shaam o saahar peyda karain


:w:
 
:sl:

Orooj e adam e khaki say anjum sahmay jatain hain
kah yeh tuta howa tara maye kamil na ban jaey


:w:
 
Assalamoalikum
mujhay zindagi may ya rab sar-e-bandagi ata ker
meray dil ki bay hisi ko gham -e- ashki (love of lord)ata ker
jo tujhee se lo lagga day
jo mujhay mera pata day
jo dilon may noor bher day
wohi roshni ata ker
may safar may so na jaon
may yaheen pay kho na jaon
mujhay zooq-o-shoq-e manzil
ki hama hami ata ker
bari dor hai abhi tak rag-e-jaan ki musafat
jo dia hai qurb to nay to sha'oor bhi ata ker
mujhay teri hi justujo ho
meray dil may tu hi tu ho
meray qalb ko woh faiz-e-dar-e arfi ata ker
 
:sl:

woh hansi gayee woh khushi gayee woh haseen khwab bhikhar gaye
jo kabhi na guzre the hadse woh hamare dil pe guzar gaye​

:w:
 
Mere Dil Ki Har Dharkan Aap K Liye Hai
Meri Har Dua Aap Ki Muskurahat Ke Liye Hai
Aap Ki Har Ada Mere Dil Ko Churane Ke Liye Hai
Ab To Meri Zindagi Aap K Intizar Ke Liye Hai



Jo jaldi mile woh hai gum, jo dair se mile woh hai paisa, jo kisi kisi ko mile woh hai pyar, jo kismat se mile woh hain AAP.


Sabne Kaha Pyar ek dard hai,
Humne kaha dard kabul hai,
sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
humne kaha tere Pyar ke sath marna kabul hai...
Wo Pyar hi kya jisme duriya na ho,
Wo Pyar hi kya jisme duriya na ho,
Wo apnapan hi kya jisme ladai na ho,
wo dil hi kya jisme dard na ho,
 
Heres one...


Tu hase che jyare juare tyare tyare tara gaal ma khada pade che,
Hu vicharu cho betho ke mara cshivay Aa khada ma ketla pade che?


:D
 
nahi is khuli faza men koi goshaye faraghat
yeh jahan ajab jahan he na qafas na aashiyaana
teri banda parwari se mere din guzar rahe hen
na gila he doston ka na shikaayate zamana
 
:salamext:

apnay liyay dunya jeeti hai, apnay liyay jeena kiya jeena
logon kai dukhon ko rab kai liyay sehnay ka mazaa kuch aur he hai

kuch deewanay yeh rasm e wafa her dor main zinda kertay kioun,
haq ki khatir mar mar kai jeenay ka mazaa kuch aur hi hai.

tareek shabon main tanhai aur ashk e nidaamat behtay hoon,
mehsoos ho iss ki qurbat jab ronay ka mazaa kuch aur hi hai.

yeh bar e amanat koh e gira(n),rastay ki saoobat ya piyaada,
chaltay hi raho,girtay howay sambhalnay chalnay ka mazaa kuch aur hi hai.

pehley bhi boht khushian ghum thay, pehley bhi zulf pareshan thee,
per ishq ki dheemi anch per ab jalnay ka mazaa kuch aur hi hai.

kiya dil pai guzarti ho gi ab, khamosh raho yeh raaz hi rahay,
kai dil ki lagi to sajdoon main kehnay ka mazaa kuch aur hi hai!!!!!!
 
assalam
main tujh ko kya bataun tijarath ka majra
tajir ke sar pe taj mohammed ne rakh diya
 

Similar Threads

Back
Top