Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
Here is one i am about to Txt to my wife :

Tu sawal nahi, ek paheli hai,

Meri manzil tu nahi, teri saheli hai..

:p

Gotta admit, for an indian who was born in Fiji, who grew up between Fiji and New Zealand, my Hindi/Urdu is flippin' awesome :p
 
Subke chahne se har baat nahi hoti.
Thode se andhere se rat nahi hoti.
Jo zindagi me sabse jyada pyara hai,..
Kya kare, usise roj mulakat nahi hoti.
 
Naraaz hokar zindagi se nata nahi todte,
Muskil ho raah phir bhi manzil nahi chodte,
Tanha na samajna khudko kabhi,
Ham unme se hai jo kabhi saath nahi chodte.
 
:sl:

Dil say jo baat nikalti hai, asar rakhti hai,
Par nahi, taaqat-e-parwaaz magar rakhti ha


:w:
 
Kuch bikhare sapno se ankhon mein nami hai,
ek chhota sa aasma aur umido ki zamin hai,
Yun to bahut kuch hai zindagi main,
Sirf jo apna hain uski kami hai... :cry: :cry:
 
:sl:

deeda-e-anjum main hain teray zameen o aasmann
aaah k sadiyoune say hai teri fazain bay azaan


:w:
 
:sl:

Jo kabutar per jhapatney main maza hai aay sipar
Woh maza shayad kabutar kay lahoo main bhi nahin


:w:
 
Suraj paas ho na ho, Roshni aaspaas rehti hai, Chand paas ho na ho, Chandni aaspaas rehti hai, Waise hi aap paas ho na ho, Apki Yaadein hamesha saath rehti hai
 
:sl:

masjid to bana li pal bhar main iman ki hararat walooun ney
maan apna puraana paapi hai barsooun main namazi ban na saka



:w:
 
:sl:

SITAROON SAY AAGAY JAHAN AUR BHI HAIN,
ABHI ISHQ KAY IMTIHAAN OR BHI HAIN,

QANA-AT NA KAR ALAM-E-RANG O BOU PER,
CHAMAN AUR BHI, ASHEEAAN AUR BHI HAIN,

AGAR KHOO GAYA AIK NASHEMAN TO KIYA GHAM,
MAQAMAAT-E-AAH O AFGHAAN AUR BHI HAIN,

TO SAHEEN HAY, PARWAAZ HAY KAAM TERA
TERAY SAMNAY ASMAAN AUR BHI HAIN


:w:
 
Zindagi hai to khwab hain, Khwab hain to manzilein hain, Manzilein hain to raste hain, Raste hain to Mushkilein hain, Muskilein hain to MAIN HOON NAA.
 
:sl:

sir zubair app kay liya khaas shayir hay

Aapki aik muskurahat Nay hamaray hosh urra diyaa.
Aapki aik muskurahat Nay hamarey hosh urra diyaa.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Hum hosh may aanay hi walay thay.
Kah aap Phir muskura diye ....


:w:
 
:sl:

sir zubair app kay liya khaas shayir hay

Aapki aik muskurahat Nay hamaray hosh urra diyaa.
Aapki aik muskurahat Nay hamarey hosh urra diyaa.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Hum hosh may aanay hi walay thay.
Kah aap Phir muskura diye ....


:w:

* Feeding it into cellphone* :p

Ye pyari nigahein yaad rahengi, milkar na milne ki ada yaad rahegi, mumkin nahi ki main tumhe bhula dun, aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi
 
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gham nahi, par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi..
---

Teri doori ka ehsaas jab satane laga. Tere sath guzra har lamha yaad aane laga. Jab bhi bhulane ki koshish ki. Tu dil ke aur karib aane laga.
---

Hamara har lamha chura liya aapne, aankhon ko ik chand dikha diya aapne. Hamein zindagi to di kisi aur ne, par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne
---

Mohobbat ka imtihan aasan nahi; pyar sirf pane ka naam nahi. Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein, ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi.
---

Sabhi ko sabh kuch nahi milta, nadi ki har lehar ko sahil nahi milta, yeh dil walon ki dunia hai dost, kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta
---
 
No, i didn't write those.

MY ones are much better than those :p

I have written one, it is pretty long, and its for my wifes eyes only. So,... i cannot post it on LI :p
 
:salamext:

:lol: Acha Bhai...Maaf kardein galti ho gayee... :p
 
Last edited:

Similar Threads

Back
Top