Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
Salam Alaikum.....I have the idea now....:X ...:uhwhat ......so won't come to this one again,,,:X i can only read, and write english:( :omg:
 
:sl:

apnay liyay to sabhi jeetay hain iss jahan main..
hai zindagi ka maqsad auroon kai kaam aana..

tundi e baad e mukhalif say na ghubra aei uqaab
yeh to chalti hai tumhain uncha uranay kai liyay..
 
Last edited:
:sl:

Tujko hai kuch ho gaya
Aanhoun pe aanhein bharte ho
Deewaane ho, tum deewaane
Deewaani baat karte ho..!

Tumpe yakeen aa gaya
Yeh kaisa aitbaar hai
Kya hai ye dil ki bebassi
Ya naam iska pyaar hai..?

Yunhi nahin bechain houn
Yunhi nahin betaab houn
Tumne dekha tha jo kal
Maano wahi main khwaab houn...

:w:
 
Asalam u Alikum
wasay yeh thread islamic type of shaiyr ka liya tha magar kuch logo nay iss ko aam shaiyroon say bhaar diya hay is ka khayal karain kay app islamic forum main hain

Alfaz o maeanee main taafarat nahi lakin
Mullah ki Azdaan aur, Mujahid ki Azdaan aur

Ibrahimee nazar peyda mushkil say hoti hay
havass choup choup kay seynoo main bana layte hay tazveerain

Walikum as Salam
 
:sl: brother:brother:

Brother ham konsi ghaer islami herkat ker rahay hein?? ham larkian apas mein share ker rahay hein, lerkoon k sath tu nahein ker rahay..:sister:

I regret that I don't read nor speak Arabic, for sure. I am trying to learn. So I appreciate very much, when it is translated. I live in a english tunnel, so to speak.
 
Asalam u Alikum
wasay yeh thread islamic type of shaiyr ka liya tha magar kuch logo nay iss ko aam shaiyroon say bhaar diya hay is ka khayal karain kay app islamic forum main hain

Walikum as Salam

:sl:

BROTHER YE THREAD SHAYIRI KE NAAM SE HAI AUR YAHAAN KOI BHI SHAYIRI POST KAR SAKTE HAIN AGAR AAP NE ISLAMIC POETRY KARNI HAI TO AIK THREAD BANA LEEJIYAY

JAZAKALLAH

:w:
 
Asalam u Alikum

appkay mashvaray ka shukariya
walikum as Salam
 
:sl:

Arz hai...:sister:
Kal Chodween Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kuch Ne Kaha Yeh Chand Hai Kuch Ne Kaha Chehra Tera
Hum Bhi Wahiin Mojood Thay Hum Se Bhi Sub Poocha Kiye
Hum Hans Diye Hum Chup Rahay Manzoor Tha Parda Tera...;D

...........................................

Kisi TaranG, Kisii SarKhushii MeiN Rehta Tha
Yeh Kal Ki Baat Hai Dil ZindaGii MeiN Rehta Tha
Bus Ek Shaam Barii Khamoshi Se TooT Gaya
HumeiN Jo MaaN Teree Dosty MeiN Rehta Thaa..

:w:
 
Asalam u Alikum

apni jullaan gah zeyreen aasman samjha tha main
aab o gul kay khayl ko apna janhaan samjha tha main
bey hijabi say taree tuta nigahoon ka talism
aik radaeey nelgaoon ko assmaan samjha tha main
karwaan thakh kar faza kay peych o khaam main reh gaya
mehr o mah o mushtari ko hum ena samjha tha main!

Walikum as Salam
 
Asalam u Alikum

falsafi ko bahass kay andar khuda milta nahi
door ko suljha raha hay aur sira milta nahi
jiss peh dil aya hay woh shereen ada milta nahi
zindagi hay talkh jenay ka maza milta nahi
maarfat khaleeq ki alaam main buhat dushwar hay
shehar e tan main jub kah kud apna pata milta nahi

Walikum as Salam
 
:sl:

Kabhi to sab jaane pehchaane lagte hai,
Kabhi to apne bhi begaane lagte hai,
Wo humhe chaurgaye to ehsaas huwa,
Jabhi kabhi kisi ko samajhne mai zamaane lagte hai

:w:
 
:sl:

Samandar is qadar shoreeda sar kyun lag raha hai
Kinarey per bhi humko itna darr kyun lag raha hai
Woh jiske naam se roshan the mustaqbil ke sab khwab
Wohi chehra humein na-muatbar kyun lag raha hai!

:w:
 
Asalam u Alikum

mitta diya meray saqi nay aalam mun o tu
pila kay mujh ko maey LA ILAHA ILAL LAHU
na maey na shaiyr na saqi na shoor chang o rabab!
skoot koh o laab e jolaey walalaey khoodroo!

Walikum as Salam
 
wasay yeh thread islamic type of shaiyr ka liya tha magar kuch logo nay iss ko aam shaiyroon say bhaar diya hay is ka khayal karain kay app islamic forum main hain
Ibrahimee nazar peyda mushkil say hoti hay
havass choup choup kay seynoo main bana layte hay tazveerain
i agree 200% with u bro
n dats another of my favs :thumbs_up
 
by d way ppl, sorry im not pikin on anyone :p but plz use roman english dats a bit more readable...:hiding:
:thumbs_up
 
:sl:

Main ek aansoun hee sahi houn bohat anmol magar
Youn na palkoun se girraa kar mujhe mitti main milaa..!

:w:
 
Similar Threads

Back
Top