Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
:sl:

Miley na tu to kisi aur se bhi main na miloon
Mujhe azeez buhat hai teri judai bhi...!


:w:
 
:sl:

Wah ji wah...!

Kabhi khatam na kiya maine roshni ka mahaaz
Agar chiraag bhujhaa, dil jallaa liya maine..!


:w:
 
:sl:

Waah..:sister:

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujhko
Apni nazron mein basa kar na girana mujhko!



:w:
 
:sl:

Bohat khoob!

Raat hui jab shaam ke baad,
Teri aawaz aayi har baat ke baad,
Humne khamoosh rehkar bhi deekha,
Teri aawaz aayi har baat ke baad..!


:w:
 
:sl:

shukran:rose: aap ka bhi bohot umdaah hai:sister:


meri rooh mein jo utar sakein woh muhabbatein mujhey chahiyein
jo saraab hon na azaab hon woh rafaqatein mujhey chahiyein!!!


:w:

 
:sl:

Shukriya..!

Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sar-e-aam pukaara nahi jaata.
Hoti hai pyar mein kuch raaz ki baatein,
Yunhi to is khel mein harra nahi jaata....


:w:
 
:sl:

Shukriya..!

Har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata,
Har naam ko sar-e-aam pukaara nahi jaata.
Hoti hai pyar mein kuch raaz ki baatein,
Yunhi to is khel mein harra nahi jaata....


:w:

wow!!! bohot khoob..:rose:

Mujhe bhi khaak tujhe bhi hawa to hone tha
ke rang-o-bo ko kahin par juda to hona tha
paristashain jo barhin faasle to barhne the
ke bandagi main kisi ko khuda to hona tha!!


:w:


 
:sl:

Shukriya, nawazish..

Sabko dost banane ki adat hai hamme,
apani alag pehchan banane ki adat hai hamme,
kitna bhi gehra zakhm de koi,
utna hi zyada muskarane ki adat hai humme.


:w:
 
:sl:

Kia kehnai aap k..:sister: bohot khoob!!

Kisi waqt sham-e-malaal mein mujhe sochna
Kabhi apney dil ki kitaab mein mujhe dekhna!
Merey khaar khaar sawal mein mujhe dhoondna
Merey geet mein, merey khwab mein mujhe dekhna!


:w:
 
:sl:

Kisko dekhna :p

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai.
Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....


:w:
 
:sl:

Kisko dekhna :p

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai.
Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....Aesa hai kia..:p


:w:

:sl:

Aji hamein..:p

Issi dil se ho ke guzar gaye kai karwan
Kai hijraton ke azaab mein mujhe dekhna!

:w:
 
:sl:

wo jhoot bol raha thaa barey saleeqay se
mai aitebaar na kertaa to aur kya kerta!!



:w:


 
:w:

Adaab!!:sister:

Na ab woh yaadon ka charhta darya, na fursaton ki udaas barkha
Yunhi zara si kasak hai dil mein, jo zakhm gehra tha bhar gaya woh!
Woh jis ke shaney pe hath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka
Teri gali se, na janey kyun, aaj sar jhukaye guzar gaya woh!


:w:
 
:sl:

Sar Jhukaogay tu pathar bhi daiwta hojayega,
Itna na chaho ussay, wo bewafa hojayega.
Hum bhi darya hain, hamain apna hunar maloom hai,
Jis taraf chal pare raasta hojayega.


:w:
 
:sl:

Kabhi yun bhi ho terey rubaru main nazar mila ke yeh keh sakoon
"Meri hasraton ko shumar kar, meri khwahishon ka hisaab de!"


:w:


 
:sl:

Khushi ka gham hai na gham ki koi khushi ab to
Buhat udaas guzarti hai zindagi ab to !



:w:
 
:sl:

Kab se terey honton ki taraf dekh raha hoon
Kashkol-e-sama't mein koi phool gira de!


:w:
 
Asalam u Alikum

hum chara gar ko yone, humain pehnaeen gay bayreyaan
qaboo main apnay garooh pari a gaya
jub ho chuka yaqeen kah nahi taqaat wasaal
dam main humaray woh sitaam eyjaad a gaya
zikar sharaab o hoor kalaam e Khuda main deykh
momin main kiya kahoon mujhay kiya a gaya

Walikum as Salam
 

Similar Threads

Back
Top