Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
:sl:

Tasleem o Taza

her shaakh say yeh nuktah peycheda hay peyda
podoon ko bhi ahsaas hay pehnaey faza ka
zulmaat kadah khaakh peh shakir nahi rehta
her lahaz hay danay ko janoon nasho numa ka
fetrat kay taqazoon peh na kar rahe amaal band
maqsood hay kuch aur hi tasleem o raza ka
juraat ho namo ki tu faza tang nahi hay
aay Mard e Khuda, mulk e Khuda tang nahi hay!


:w:
 
:sl:

main aik mashvara layna chahta hoon app sub say kiyon na aik alaag thread shouroo kiya jaey jiss main aik kissi bhi shayir kay baray main app kiya soch tay hain app us shayir ko kis tarhaan daykhtain hain iss main zaroori nahi kay har koi aik hee shayir kay baray main apnay khayalaat ka izhaar karay her koi alaag shayir kay baray main post kar sakta hay

app logoon kay jawab ka muntazir rahoonga

:w:
 
:sl:

main aik mashvara layna chahta hoon app sub say kiyon na aik alaag thread shouroo kiya jaey jiss main aik kissi bhi shayir kay baray main app kiya soch tay hain app us shayir ko kis tarhaan daykhtain hain iss main zaroori nahi kay har koi aik hee shayir kay baray main apnay khayalaat ka izhaar karay her koi alaag shayir kay baray main post kar sakta hay

app logoon kay jawab ka muntazir rahoonga

:w:

kyon nahi yeh tu kafi acha khayal hai aap ka......app silsilah shuroo karay phir insha'allah hum sab bhi kuch nah kuch post kartay rahe gay bemah appne khayalaat kay saath....
 
khuda hum ko aasi khudahi nah dey
kay appne sewa kuch dekhahi nah dey

mujhay aasi jahnaat nahi chahi hai
jaha say madina dekhahi nay dey

mujhay appni chadar mein yuhoon dahnp lo
zameen asman kuch dekhahi nay dey

Mein ashkoon say naam-e-Mohammad(saw) likhoon
Kalam chihen lay , rooshnahi nah dey

Gholomi ko barkat samjnay lage
Aseeroon ko assi rahi nah dey

Khuda aasey ehsas ka naam hai
rahe samne aur dekhahi nah dey
 
well..well..i jus had my urdu paper 2 days bakk so i will b posting a lot here..hehe :)
--->
khushi k sath dunya mein hazaroon gham bhi hotay hain
jahan bajtee hay shenaee wahan matam bhi hotay hain!!


adaab adaab
 
^ bahut khoob

aur assi kay saath aik shair arz kiya hain

ehsaas kay andaz badal jatay hain warna
anchal bhi assi tar say banta hain kafan bhi
 
khuda hum ko aasi khudahi nah dey
kay appne sewa kuch dekhahi nah dey

mujhay aasi jahnaat nahi chahi hai
jaha say madina dekhahi nay dey

mujhay appni chadar mein yuhoon dahnp lo
zameen asman kuch dekhahi nay dey

Mein ashkoon say naam-e-Mohammad(saw) likhoon
Kalam chihen lay , rooshnahi nah dey

Gholomi ko barkat samjnay lage
Aseeroon ko assi rahi nah dey

Khuda aasey ehsas ka naam hai
rahe samne aur dekhahi nah dey

Wah ji wah kya baat hai! :D
 
ki muhammad(saw) say wafa too nay to hum teray hain
yeah jahan cheez hai kia loho qalam teray hain
 
:sl:

Jo meray ronay per hasta hay
Us ka gham meray gham say bhi ziyada hay

And

Jo tum say jukh kar milay
samajh loo uk sa kad tum say lamba hay


:w:
 
:sl:

this is my first poem... meri khud ki takhleeq hai... :statisfie

Har raat
Sajata hoon main
Teri yadoon ka guldasta
Ah! Afsoos
Har kanta
Yeh ehsaas dilata hai mujhe
Ke tu ja chuka hai...

any comments are welcome... :)

:w:
 
:sl:

maaf karna mein samjha koi bhi nazm chale gi is liye khud pehli takhleeq pesh kardi... won't do it again... :thankyou:

thanks for saying it was nice... :statisfie

:w:
 
:sl:
tujh ko bataon main,taqdeer e umam kiya hai
shamsheer o sanaan awwal,taos o rabaab akhir!
 

Similar Threads

Back
Top