Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
:sl:

آج بھی ہو جو ابراہیم کا ایماں پیدا
آگ کر سکتی ہے انداز گلستاں پیدا



:w:
 
waqt ki adalat main
zindagi ki soorat main
yeh jo teray haton may ,ik sawalnama hai
kis nay banaya hai!
kis liay banaya hai
kuch samajh may aya hai ?
zindaqi kay parchay kay
sab sawaal lazim hain , sub sawaal mushkil hain
Amjad islam Amjad
 
Last edited:
main janta hon mere kam tabi say sehr na hogi
magar phir bhi may siyah shab ka ghubaar ban ker nahi jiyon ga
kiran ho kitni naheef lakin kiran hai phir bhi
woh tarjuman hai kay roshni ka wajood zinda hai
aur jab tak
yeh roshni ka wajood zinda hai , raat apnay
siyah panjoon ko jis qadr bhi daraaz ker lay
kaheen say sooraj nikal paray ga...!
Amjad islam amjad
 
:sl:

aag hai,aulad e ibrahim hai,namrud hai
shayad kisiko phir kisi ka imtihaan maqsood hai...


آگ ہے، اولادِ ابراہیم ہے، نمرود ہے
شاید کسی کو پھر کسی کا امتحان مقصود ہے


:w:
 
:sl:

buton se tujh ko umeedain khuda se nomeedi
mujhay bata to sahi or kafiri kia hai??


بتوں سے تجھھ کو امیدیں خدا سے ناامیدی
مجھھ کو بتا تو سہی اور کافری کیاہے


:w:
 
Assalamoalikum

some ashaars written by my self

Allah khush ho jai tum say, aur kia chahiay tumhay
yeh mata-e-bay baha mil gai to aur kia chahiay tumhay

logon ka kiya hai, pal bhar ko woh khush ho hi jain gai
aglay pal phir woh shikway tum say hazaar lain gay

aay insaa(n) kitna nadan ho gia tu
mayar apna khushi logon ki bana lia tu nay

rutba buland hota bhi hay kabhi logon ki pazeerai say
jo Allah ko naraz kia to sab kuch kho dia tu nay
 
:sl:

Allah khush ho jai tum say, aur kia chahiay tumhay
yeh mata-e-bay baha mil gai to aur kia chahiay tumhay

logon ka kiya hai, pal bhar ko woh khush ho hi jain gai
aglay pal phir woh shikway tum say hazaar lain gay

aay insaa(n) kitna nadan ho gia tu
mayar apna khushi logon ki bana lia tu nay

rutba buland hota bhi hay kabhi logon ki pazeerai say
jo Allah ko naraz kia to sab kuch kho dia tu nay


Hmmm not bad
Good

:w:
 
oki-dokizzz m bakKk! [lol...urdu paper jus round the corner]
Anyway--->
Taqdeer nay kia is liye chunwaay thay tinkay
k bun jaay nashay-man tu koe aag laga dey!

itss jus soo tRuE n n!cE
 
parwaaz hey dono ki isi aik faza mey
kargis ka jahan or hey shaheen ka jahan or
 
:sl:

Zubaan se kah bhi dey LA ILAHA to kiya hassal
Dil-o-Nigha Muslman nahi to kuch bi nahi.


:w:
 
:sl:

koi qabil ho to hum shaan kai deytain hain
Dhoondne waloon ko duniya bhi nai deytain hain


:w:
 
apney man mey doob kar paa ja suragh-e-zindagi
to mera nahi banta na ban apna to ban
 

Similar Threads

Back
Top