Urdu Poetry

  • Thread starter Thread starter Bin Qasim
  • Start date Start date
  • Replies Replies 214
  • Views Views 83K
Bang-e-Dra (Allamah Iqbal)

From: Ghazaliyaat

His heart is talking to Allah Taa'ala

Tire ishq ki intiha chahta hoon
Miri saadgi dekh kiya chahta hoon
Sitam ho keh ho wa'da-a behijabi
Koi baat sabar aazmaa chahta hoon
Yeh Jannat mubarik rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hoon
Zara saa tto dil hoon magar shokh itna
Wohi lan-tarani suna chahta hoon
Koi dam ka mehman hoon ay ehle mehfil
Charaghe seher hoon bhuja chahta hoon
Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bara be-adab hoon, saza chahta hoon

:sl: Bhai Mercurial
Bohut umdaah ghazal hai, bang e dra k kia ma'nay hein? bang --- azaan? or dra?

Bohut shyukria

:w:
 
hazaaro.n Khvaahishe.n aisii ki har Khvaaish pe dam nikale
bahut nikale mere armaa.N lekin phir bhii kam nikale

Dare kyuu.N meraa qaatil kyaa rahegaa usakii gardan par
vo Khuu.N jo chashm-e-tar se umr bhar yuu.N dam-ba-dam nikale

nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.n lekin
bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale

huii jinase tavaqqo Khastagii kii daad paane kii
vo hamase bhii ziyaadaa Khastaa-e-teG-e-sitam nikale

muhabbat me.n nahii.n hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hai.n jis kaafir pe dam nikale
Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim
Kahii.n aisaa na ho yaa.N bhii vahii kaafir sanam nikale

:sl:

Saarah, aesa lagta hai maen aap ko janti hun? Is ths pagal kuri??

:w:
 
Last poem of Bange Dra by Allamah Iqbal

Masjid tto banaa di shabb bhar mein emaan ki haraarat waloon ne
Mann apna purana paapi hay, barson mein namaazi ban nah saka
Kiya khoob amir-e-fasil ko sannusi ne peghaam diya
Ttu naam-o-nasb ka hijaazi hay, par dil ka hijaazi ban nah saka
Tar aankhein tto ho jati hein, par kiya lazzat iis rone mein
Jab khune jigar ki aamezish say ashk piyaazi ban nah saka
Iqbal bara updeshak hay, mann baaton mein moh leta hay
Guftaar ka yeh ghazi tto bana, kirdaar ka ghazi ban nah saka
 
You're welcome brother/sister. :)

A Poem from Baal-E-Jibril (Allamah Iqbal)

Jab ishq sikhata hai aadaabe khud aagahi
Khulte hein ghulamon par israare shehen-shahi
Attaar ho, RUmi ho, Raazi ho, Ghazaali ho
Kuch haath nahi aata be-aahe seher-gahi
No-meed nah ho in se ay rehbare farzanah!
Kam-kosh tto hein lekin be-zooq nahin raahi
Ay taaire la-huti! os rizq se moot ach-chi
Jis rizq se aati ho parwaaz mein kotaahi
Dara O Sikandar se woh marde faqeer aulaa
Ho jis ki faqeeri mein bu-a asad-e-illahi
Aaine jawaan-marde haq-goi O be-baaqi
Allah ke sheron ko aati nahi robaahi
 
Khitaab ba jawanaan-e-Islam (Allamah Iqbal)

From: Baange Dra

Kabhi ay no-jawaan Muslim! Tadabbur bhi kiya ttu ne
Woh kiya gardoon tha ttu jis ka hay ik tuta huwa tara
Tujhe os qaom ne palaa hay aaghoshe muhabbat mein
Kuchal dala tha jis ne paaon mein taaje saredaara
Agar chahoon tto naqshah alfaaz mein khench kar rakh doon
Magar tere takhai-ul se fazoon-tar hay woh nazzaara
Tujhe aaba se apne koi nisbat ho nahi sakti
Keh ttu guftaar woh kirdaar, ttu sabit woh saiyara
Ganwa di ham ne jo aslaaf se miraas paai thi
Suraiya se zameen par aasmaan ne ham ko de maara
Magar woh ilm ke moti kitabein apne aaba ki
Jo dekhein oon ko Europe mein tto dil hota he si-para

It's incomplete.
 
Kabhi ay haqiqate muntazir (Allamah Iqbal)

From: Bang-E-Dra

Kabhi ay haqiqate muntazir nazar aa libase majaz mein
Keh hazaron sajde tarap rahe hein miri jabine niyaz mein
Tarab aashna-a kharosh ho, ttu nawa hay mahrame gosh ho
Woh suroor kiya keh chhupa huwa ho sakoote pardah e saaz mein
Ttu bacha bacha ke nah rakh iise, tira aainah hay woh aainah
Keh shikastah ho tto aziz-tar hay nigahe aainah e saaz mein
Dame taufe kirmake shamma' ne yeh kaha keh woh asre kohan
Nah tiri hikayate soz mein, nah miri hadise gudaaz mein
Nah kahin jahan mein amaan mili, jo amaan mili tto kahan mili
Mire jurme khanah kharab ko tire af've bandah nawaz mein
Nah woh ishq mein rahin garmiyan, nah woh husn mein rahin shokiyan
Nah woh Ghaznawi mein tarap rahi, nah woh kham hay zulfe Ayaaz mein
Jo mein sar-basajdah huwa kabhi tto zamin say aane lagi sada
Tira dil tto hay sanam aashna, tujhe kiya mile ga namaz mein
 
Bhai, sab hee sharing bohut achi lekin bohut mushkil bhi hai....bohut shukria.

:w:

.​
 
Hey brother, thanx a lot. :)

Zarifanah Kalaam (Allamah Iqbal)

From: Bang-e-dra

Sheikh sahib bhi tto parde ke koi hami nahin
Muft main college ke larke oon se badzan ho gae
Wa'az main farma diya kal aap ne yeh saaf saaf
"Pardah aakhir kis se ho jab mard hi zan ho gae"

Zan - Woman :giggling:
 
Lamha e fikr for Bhai hazraat..:skeleton:

:sl:

no problem brother....share kertay raheay...

achi sharing hai, shukria.

.
 
Jibril-O-Iblis (Allamah Iqbal)

From: Baal-E-Jibril

Jibril

Hamdame darinah! Kesa he yeh jahane rang-o-bu?

Iblis

Soz O saaz O dard O dagh O justujue aarzu

Jibril

Har ghari aflaak par rehti he teri guftugu
Kiya nahin mumkin keh tera chaake daaman ho rafu?

Iblis

Ah ay Jibril! Ttu waqif nahin iis raaz se
Kar geya sarmast mujh ko tutt kar mera sabu
Abb yahan meri guzar mumkin nahin mumkin nahin
Kis qadar khamosh hai yeh aalme be-kaakho ku!
Jis ki nomide se ho soze darune kainaat
Os ke haq main 'taqnatu' acha hai ya keh 'la-taqnatu'

Jibril

Ik inkar se kho diye ttu ne maqamate buland
Chashme Yazdan main farishton ki rahi aabru

Iblis

Hai miri jurrat se mushte khaak mein zaoq-e-namu
Mere fitne jamah-a aql-o-khird ka taar-o-pau
Dekhta hai ttu faqat sahil se razme khair-o-shar
Kon tufaan ke tamanche kha raha he, main keh ttu?
Khizar bhi be-dastopa, Ilyas bhi be-dastopa
Mere tufaan yam-bah-yam, darya-bah-darya, ju-bah-ju
Gar kabhi khalwat moyassar ho tto puch Allah se
Qissah-a Aadam ko rangin kar geya kis ka lahu!
Main khatakta hun dil-e-Yazdan main kante ki tarah
Ttu faqat Allah-hu, Allah-hu, Allah-hu!
 
SAQI NAMAH - ALLAMAH IQBAL

Zamanay kay andaaz badle ga-a
Neya raag hay saaz badle ga-a
Huwa iis tarha faash raze farang
Keh hairat mein hay shishah baaze farang
Purani siyasat gari khowaar hay
Zameen mir o sultan say bezaar hay
Geya daor sarmayah-dari, geya
tamashah dikha kar madari geya

AND SO ON .....

11xh2.jpg

Musalman hay taoheed mein garm josh
Magar dil abhi tak hay zunnaar posh
Tamaddun, tasawwuf, shariat, kalaam
Butaan e ajam kay pujari tamaam!
Haqiqat khurafaat mein kho ga-e
Yeh ummat rawayaat mein kho ga-e
Lubhata hay dil ko kalaame khateeb
Magar lazzate shoq say be-naseeb
Biyaan iis ka mantiq say suljha huwa
Lughat ke bakheroon mein uljha huwa
Woh sufi keh tha khidmate haq mein mard
Muhabbat mein yakta, hamiyyat mein fard
Ajam kay khiyalaat mein kho geya
Yeh saalik maqamaat mein kho geya
Bujhi ishq ki aag, andher hay
Musalman nahi, raakh ka dher hay

AND SO ON .....

12uj1.jpg

It's a very long poem. :)
 
Bang-e-Dra (Allamah Iqbal)

From: Ghazaliyaat

His heart is talking to Allah Taa'ala

Tire ishq ki intiha chahta hoon
Miri saadgi dekh kiya chahta hoon
Sitam ho keh ho wa'da-a behijabi
Koi baat sabar aazmaa chahta hoon
Yeh Jannat mubarik rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hoon
Zara saa tto dil hoon magar shokh itna
Wohi lan-tarani suna chahta hoon
Koi dam ka mehman hoon ay ehle mehfil
Charaghe seher hoon bhuja chahta hoon
Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bara be-adab hoon, saza chahta hoon

87276806no1.jpg
 
Imaamat (Allamah Iqbal)

From: Zarbe Kaleem

Ttu ne puchi hay imaamat ki haqiqat mujh say
Khuda tujhe meri tarah sahib e israar kare
Hay wohi tere zamane ka imaame barhaq
Jo tujhe haazir o maojud se bezaar kare
Moot ke aai-ne mein tujh ko dikha kar rukhe dost
Zindagi tere liye oor bhi dushwaar kare
De ke ehsaase ziyaan tera la-hu garma de
Faqr ki saan charha kar tujhe talwaar kare
Fitnah-a millate bezaa hay imaamat os ki
Jo tujhe salateen ka paristaar kare

51893805qw0.jpg
 
Bach-che Ki Duaa (Allamah Iqbal)

Lab pay aati hay duaa ban ke tamanna meri
Zindagi shamma ki surat ho Khuda-ya meri
Dur dunyan ka mire dam say andhera ho ja-a
Har jagha mere chamakne say ujala ho ja-a
Ho mere dam say yonhi mere watan ki zeenat
Jis tarha phool say hoti hay chaman ki zeenat
Zindagi ho miri parwane ki surat ya-Rabb
Ilm ki shamma say ho mujh ko muhabbat ya-Rabb
Ho mira kaam gharibon ki himayat karna
Dard-mandon say zaifoon say muhabbat karna
Mire Allah! burai say bachaana mujh ko
Nek jo rah ho, os rah pay chalaana mujh ko

28330313mm9.jpg
 
Last poem of Bange Dra by Allamah Iqbal

Masjid tto banaa di shabb bhar mein emaan ki haraarat waloon ne
Mann apna purana paapi hay, barson mein namaazi ban nah saka
Kiya khoob amir-e-fasil ko sannusi ne peghaam diya
Ttu naam-o-nasb ka hijaazi hay, par dil ka hijaazi ban nah saka
Tar aankhein tto ho jati hein, par kiya lazzat iis rone mein
Jab khune jigar ki aamezish say ashk piyaazi ban nah saka
Iqbal bara updeshak hay, mann baaton mein moh leta hay
Guftaar ka yeh ghazi tto bana, kirdaar ka ghazi ban nah saka

33245922wc5.jpg
 
You're welcome brother/sister. :)

A Poem from Baal-E-Jibril (Allamah Iqbal)

Jab ishq sikhata hai aadaabe khud aagahi
Khulte hein ghulamon par israare shehen-shahi
Attaar ho, RUmi ho, Raazi ho, Ghazaali ho
Kuch haath nahi aata be-aahe seher-gahi
No-meed nah ho in se ay rehbare farzanah!
Kam-kosh tto hein lekin be-zooq nahin raahi
Ay taaire la-huti! os rizq se moot ach-chi
Jis rizq se aati ho parwaaz mein kotaahi
Dara O Sikandar se woh marde faqeer aulaa
Ho jis ki faqeeri mein bu-a asad-e-illahi
Aaine jawaan-marde haq-goi O be-baaqi
Allah ke sheron ko aati nahi robaahi

18002012ms0.jpg
 
Khitaab ba jawanaan-e-Islam (Allamah Iqbal)

From: Baange Dra

Kabhi ay no-jawaan Muslim! Tadabbur bhi kiya ttu ne
Woh kiya gardoon tha ttu jis ka hay ik tuta huwa tara
Tujhe os qaom ne palaa hay aaghoshe muhabbat mein
Kuchal dala tha jis ne paaon mein taaje saredaara
Agar chahoon tto naqshah alfaaz mein khench kar rakh doon
Magar tere takhai-ul se fazoon-tar hay woh nazzaara
Tujhe aaba se apne koi nisbat ho nahi sakti
Keh ttu guftaar woh kirdaar, ttu sabit woh saiyara
Ganwa di ham ne jo aslaaf se miraas paai thi
Suraiya se zameen par aasmaan ne ham ko de maara
Magar woh ilm ke moti kitabein apne aaba ki
Jo dekhein oon ko Europe mein tto dil hota he si-para

It's incomplete.

39922296ls7.jpg
 
Hey brother, thanx a lot. :)

Zarifanah Kalaam (Allamah Iqbal)

From: Bang-e-dra

Sheikh sahib bhi tto parde ke koi hami nahin
Muft main college ke larke oon se badzan ho gae
Wa'az main farma diya kal aap ne yeh saaf saaf
"Pardah aakhir kis se ho jab mard hi zan ho gae"

Zan - Woman :giggling:

45882391zm7.jpg
 
Similar Threads

Back
Top