Taranah-E-Milli (Allamah Iqbal)
From: Baang-E-Dra
Chin-o-Arab hamara, Hindustan hamara
Muslim hain ham, watan hai sara jahan hamara
Taohid ki amanat sinon mein hai hamare
Aasan nahin mitana naam-o-nishan hamara
Dunya ke bott-kadon mein pehla woh ghar Khuda ka
Ham os ke pasban hein, woh pasban hamara
Teghon saae mein ham pal kar jawan huwe hain
Khanjar hilal ka hai qaomi nishan hamara
Maghrib ki wadiyon mein gungi azan hamari
Thamta nah tha kisi se sel-e-rawan hamara
Baatil se dabne wale ay aasman nahin ham
Sao bar kar chuka hai ttu imtihan hamara
Ay gulistan-e-onlas! Woh din hain yaad tujh ko
Tha tere daliyon par jab aashiyan hamara
Ay maoj-e-dajlah! tu bhi pehchanti hai ham ko
Abb tak hai tera darya afsanah-khwan hamara
Ay arz-e-pak! Teri hurmat pe kat mare ham
Hai khun teri ragon mein abb tak rawan hamara
Salaare kaarwan hai Mir-e-Hijaz apna
Os naam se hai baqi aaram-e-jahan hamara
Iqbal ka taranah bang-e-dra hai goya
Hota hai jada-pema phir karwan hamara