Urdu Poetry

  • Thread starter Thread starter Bin Qasim
  • Start date Start date
  • Replies Replies 214
  • Views Views 83K
Jibril-O-Iblis (Allamah Iqbal)

From: Baal-E-Jibril

Jibril

Hamdame darinah! Kesa he yeh jahane rang-o-bu?

Iblis

Soz O saaz O dard O dagh O justujue aarzu

Jibril

Har ghari aflaak par rehti he teri guftugu
Kiya nahin mumkin keh tera chaake daaman ho rafu?

Iblis

Ah ay Jibril! Ttu waqif nahin iis raaz se
Kar geya sarmast mujh ko tutt kar mera sabu
Abb yahan meri guzar mumkin nahin mumkin nahin
Kis qadar khamosh hai yeh aalme be-kaakho ku!
Jis ki nomide se ho soze darune kainaat
Os ke haq main 'taqnatu' acha hai ya keh 'la-taqnatu'

Jibril

Ik inkar se kho diye ttu ne maqamate buland
Chashme Yazdan main farishton ki rahi aabru

Iblis

Hai miri jurrat se mushte khaak mein zaoq-e-namu
Mere fitne jamah-a aql-o-khird ka taar-o-pau
Dekhta hai ttu faqat sahil se razme khair-o-shar
Kon tufaan ke tamanche kha raha he, main keh ttu?
Khizar bhi be-dastopa, Ilyas bhi be-dastopa
Mere tufaan yam-bah-yam, darya-bah-darya, ju-bah-ju
Gar kabhi khalwat moyassar ho tto puch Allah se
Qissah-a Aadam ko rangin kar geya kis ka lahu!
Main khatakta hun dil-e-Yazdan main kante ki tarah
Ttu faqat Allah-hu, Allah-hu, Allah-hu!

10vc3.jpg
 
Kabhi ay haqiqate muntazir (Allamah Iqbal)

From: Bang-E-Dra

Kabhi ay haqiqate muntazir nazar aa libase majaz mein
Keh hazaron sajde tarap rahe hein miri jabine niyaz mein
Tarab aashna-a kharosh ho, ttu nawa hay mahrame gosh ho
Woh suroor kiya keh chhupa huwa ho sakoote pardah e saaz mein
Ttu bacha bacha ke nah rakh iise, tira aainah hay woh aainah
Keh shikastah ho tto aziz-tar hay nigahe aainah e saaz mein
Dame taufe kirmake shamma' ne yeh kaha keh woh asre kohan
Nah tiri hikayate soz mein, nah miri hadise gudaaz mein
Nah kahin jahan mein amaan mili, jo amaan mili tto kahan mili
Mire jurme khanah kharab ko tire af've bandah nawaz mein
Nah woh ishq mein rahin garmiyan, nah woh husn mein rahin shokiyan
Nah woh Ghaznawi mein tarap rahi, nah woh kham hay zulfe Ayaaz mein
Jo mein sar-basajdah huwa kabhi tto zamin say aane lagi sada
Tira dil tto hay sanam aashna, tujhe kiya mile ga namaz mein

70516545mn3.jpg
 
Can we get all these in urdu fonts? Even images would do. It's better reading them in urdu fonts :hmm:

Hey brother, you know what? Truly, if it was not you who had asked to post these in Urdu fonts, I as heck would never do it coz these poems often go straight over the heads of most of the people. :)
 
Iblis Ka Farman Apne Siyasi Farzandon Ke Naam :p

La kar barahmanon ko Siyasat ke bich mein
Zun-naariyon ko dair-e-kohan se nikaal dao
Woh faaqah-kash keh maot se darta nahi zara
Ruh-e-Muhammad os ke badan se nikaal dao
Fikr-e-Arab ko de ke farangi takhai-u-laat
Islam ko hijaaz-o-Yaman se nikaal dao
Afghaniyon ki ghairate deen ka hay yeh e-laaj
Mulla ko oon ke koh-o-dman se nikaal dao
Ehle haram se oon ki rawayaat chhin lo
Aahu ko marghuzare khutan se nikaal dao
Iqbal ke nafas se hay lale ki aag tez
Aise ghazal-sara ko chaman se nikaal dao

Allamah Iqbal

11gw4.jpg
 
Mata'a be-baha hay (Allamah Iqbal)

From: Baale Jibril

Mata'a be-baha hay dard soze aarzu-mandi
Maqame bandagi de kar nah lon shane Khudawandi
Tire aazad bandon ki nah yeh dunya, nah woh dunya
Yahan marne ki pabandi, wahan jine ki pabandi
Guzar o-qaat kar leta hay yeh koho biyaban mein
Keh shahin ke liye zillat hay kare aashiyan-bandi
Yeh faizane nazar tha ya keh maktab ki karamat thi
Sikha-a kis ne Ismail ko aadabe farzandi
Miri mash-shatgi ki kiya zarurat husne ma'ani ko
Keh fitrat khud bakhud karti hay lale ki hina-bandi

It's incomplete.

12dr7.jpg
 
Jihad (Allamah Iqbal)

Fatwa hai Shaikh ka yeh zamanah qalam ka hai
Dunya mein abb rahi nahin talwar kargar
Lekin janabe Shaikh ko ma'lum kiya nahin?
Masjid mein abb yeh wa'az hai be-sudo be-asar
Tegh-o-tufang abb daste Musalman mein hai kahan
Ho bhi, tto dil hain maot ki lazzat se be-khabar
Kafir ki maot se bhi larazta ho jis ka dil
Kehta hai kon ose keh Musalman ki maot mar
Ta'lim os ko chahiye tark-e-Jihad ki
Dunya ko jis ke panja-e-Khuni se ho khatar
Baatil ke faal-o-far ki hifazat ke waste
Europe zirah mein doob geya dosh ta kamar
Ham puchte hain Shaikhe Kalisa-nawaz se
Mashriq mein jang shar hai tto maghrib mein bhi hai shar
Haqq se agar gharaz hai tto zeba hai kiya yeh baat
Islam ka muhasbah, Europe se dar-guzar

13yc9.jpg
 
Tariq Ki Dua (Allamah Iqbal)

Undlas ke maidan-e-jang mein

Yeh ghazi yeh tere pur-israr bande
Jinhen ttu ne bakhsha hai zoq-e-Khudai

Dao-nim in ki thokar se sehra-o-darya
Simat kar pahar in ki haibat se rai

Dao-aalam se karti hai be-ganah dil
Ajab cheez hai lazzat-e-aashnai

Shahadat hai matlub-o-maqsude Momin
Nah mal-e-ghanimat nah kishwar kushai

Khiyaban mein hai mutazir lalah kab se
Quba chahiye iis ko khune Arab se

Kiya ttu ne sehra-nashinon ko yakta
Khabar mein, nazar mein, azan-e-seher mein

Talab jis ki sadyon se thi zindagi ko
Woh soz os ne paya inhi ke jigar mein

Kushade dar-e-dil samajhte hein iis ko
Halakat nahin maot in ki nazar mein

Dile mard-e-Momin mein phir zindah kar de
Woh bijli keh thi nara-e-latazar mein

Azaaim ko sinon mein bedaar kar de
Nigah-e-Musalman ko talwar kar de!

14dv7.jpg
 
Taranah-E-Milli (Allamah Iqbal)

From: Baang-E-Dra

Chin-o-Arab hamara, Hindustan hamara
Muslim hain ham, watan hai sara jahan hamara
Taohid ki amanat sinon mein hai hamare
Aasan nahin mitana naam-o-nishan hamara
Dunya ke bott-kadon mein pehla woh ghar Khuda ka
Ham os ke pasban hein, woh pasban hamara
Teghon saae mein ham pal kar jawan huwe hain
Khanjar hilal ka hai qaomi nishan hamara
Maghrib ki wadiyon mein gungi azan hamari
Thamta nah tha kisi se sel-e-rawan hamara
Baatil se dabne wale ay aasman nahin ham
Sao bar kar chuka hai ttu imtihan hamara
Ay gulistan-e-onlas! Woh din hain yaad tujh ko
Tha tere daliyon par jab aashiyan hamara
Ay maoj-e-dajlah! tu bhi pehchanti hai ham ko
Abb tak hai tera darya afsanah-khwan hamara
Ay arz-e-pak! Teri hurmat pe kat mare ham
Hai khun teri ragon mein abb tak rawan hamara
Salaare kaarwan hai Mir-e-Hijaz apna
Os naam se hai baqi aaram-e-jahan hamara
Iqbal ka taranah bang-e-dra hai goya
Hota hai jada-pema phir karwan hamara

15zy8.jpg
 
Mujhe urdu se bohot lagao hai. Kaash mein Pakistan mein parhi hoti :'( lekin ik guzarish hai tamaam behen bhaiyon se. Agar bura na maanen to jab aap 'bara' likhte hain to usse 'bada' na likhen. Maslan 'parh sakta hoon' ko 'padh sakta hoon' na likhiye. Aise hota hai ke jab mein parhti hoon to 'phad' ko phir 'parh' ki bajaye phad keh deti hun lol. Bohot ajeeb sa lagta hai. Sirf ik choti si farmaish hai, agar ho sake to, nahi to koi baat nahi :-[:)


LOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOL! Agreed.
 
Ghulami main nah kaam aati hain shamshiren nah tadbiren
Jo ho zaoqe yaqin paida tao kat jati hain zanjiren
Koi andazah kar sakta hai os ke zoor-e-bazu ka
(Keh) Nigahe Mard-e-Mo'min se badal jati hain taqdiren
 
jitna diya sarkar ne muj ko
utni meri aowqaat nahee
ye to karaam hai un ka warna
muj mein to aeisi koi baat nahee...:)
 
ishq-e-nabi merey dil mein sama jaana..
mustafa ke rang ki kuch rangat muj pe bi chara jaana..
jis khawab mein ho didaar-e-nabi hassil..
muj ko wo neend sula jaana.......
 
Keh do yeh hasratoon se kahin aor ja basen
Itni jagah kahan hai dile daagh-daar mein
Umr-e-daraaz maang kar lae the chaar din
Dao aarzu mein kat gae, dao intizaar mein
Kitna bad-naseeb hai zafar, dafan ke liye
Dao gaz zamin bhi nah mili ku-e-yaar mein
 
har qadaam pe rahein ge salamaat hum..
un ki rehmaat ne abb taak bachaya hai..
wo hameishah bachate rahein ge..
apne jalwe dikhaate rahein ge.......
 
Waqt-e-fursat hai kahan, kaam abhi baqi hai
Noor-e-Tawheed ka ittimaam abhi baqi hai

(Jawab-e-Shikwah by Allamah Iqbal)
 
Ho Nik O Naam Jo Kabro Ki Tizarat Karke
Kyon Na Bechoge Jo Mil Jayenge Sanam Patthar ke.


Allama Iqbal.
 

Similar Threads

Back
Top