Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
:sl:
dil to chahta hai kai shaheed ho jaon
magar kehtay hain; jaan say maar daitay hain!
 
:sl:
hal mera na puchiye main jo kahoon so kya kahoon
dil hai so reesh reesh hai seena so dag dag hai

daulat e faqr ke huzoor gard hai jah o saltanat
kehte yan jise huma apni nazar mein zag hai

:rollseyes

huma mean falcon
zag means crow

:)


:w:
 
:sl:

Bare arsse se baad aik poem likha hai. Umeed hai pasand aayega.

Siwaye Tere

Sare rishte kache dhaage
Kabhi toote kabhi jurre
kabhi suraagh hi nahi mile
Siwaye Tere
Ik aisa rishta
Jo toot ke bhi nahi toota
Tujhe bhulaya bhi agar
Tu ne mujhe yaad dilaya
Jab chaha, Tujhe pukara
Har baar Tujh ko saamne paya
Na kuch liya mujh se Tu ne
Bas diya aur bebaha diya
Duniya se lagge zakhmon ko bhi
Tu ne hi Khud sehlaya
Ab koi ghum nahi
Na koi arzoo hai meri
Jo duniya se chain chaha tha
Woh Teri yaad mein paya
Tu hi hai mera rakhwala
Sirf Tu hi mere Khudaya​
~*~*~*~*~*~*​

:w:
 
farishta mujh ko kehney sey meri tehqeer hoti hey
mey masjood e malaik hon mujhey insaan rehney do

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

zamana barey ghoor sey soon raha tha
ham hi soo gay dastaan kehtey kehtey

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

yaklakht jo gira hey to jarain nikal ayin
wo pair jisey aandhi mey bhi hiltey nahi deaikha
 
:sl:


كافر كي موت سے لزرتا هوجس كا دل
كون كهتا هے اسے مسلماں كي موت مر


:w:
 
:sl:

uper di gai poem Urdu Tehreer main


Mujhe yeh poem buhat achi lagi isliye mene aisi sahi format mani type ker diya ummed hia Muslimah sis mind nahi karin gi

:w:

:sl:
Wowowow aap ne to kamal kar diya Bro! Mein kal bhai ko apne poem dikha rhai thi to us waqt pata chala ke mere poem ko aapne urdu mein format kiya hai. Mujhe koi aitraaz nahi. Balke khushi hui ke mere bhai ko mera poem itna pasand aaya. Pehli nazar mein, mein samjhi ke ye kisi aur ke poem hai magar title mere poem ke title se milta hai. Phir dekha to meri hi poem tha lolz. JazakAllah khair bro.
:w:
 
:sl:

گزر جا عقل سے آگے کہ یہ نور
نشان راہ ہے منزل نہیں ہے


:w:
 
:sl:


پے خطر کود پڑا آتش نمرود میں عشق
عقل ہے محو تماشائے لب بام ابھی



:w:
 
apney man mey doob kar pa ja suraagh e zindagi
to mera nahi banta na ban apna to
iqbal
 
:sl:


koi dil aisa nazar na aya na jisme khwabeeda ho tamanna
ilahi tera jahan kya hai nigar khana hai aarzoo ka


:w:
 
:sl:


ٹل نہ سکتے تھے اگر جنگ میں اڑ جاتے تھے
پاوں شیر کے بھی میداں سے اکھڑ جاتے تھے
تجھہ سے سرکش ہوا کوئ تو بگڑ جاتے تھے
تیغ کیا چیز ہے ہم توپ سے لڑ جاتے تھے



:w:
 
tujhey aabaa sey apney koi nisbat ho nahi sakti
key to guftaar,wo kirdaar,to sabit,wo siyara
iqbal
 
josh e daryaa sey keh raha hey samander ka skoot
jis ka jitna zarf hey itna hi wo khamoosh hey
 
taruf Roug ban jay tu ous ka bhoolna behtar
Talouq Bhoojh ban jay tu ous ka Torana acha
Woh fasana jisay anjaam tak lana na ho mumkin
ousay eik Khoob sorat more day kar chorna acha
 
:sl:


f2htm14rs1.gif

f2htm15nk7.gif


:w:
 
Last edited:

Similar Threads

Back
Top