Shayiri

  • Thread starter Thread starter habib
  • Start date Start date
  • Replies Replies 1K
  • Views Views 680K
Muj4h1d4 said : not bad yo but i can do better :p

(shes in lesson right now... naughty)
 
:salamext:

Aaj vo humse Jannat Main Takraa Gaye
To Humaare Dil Se Aawaaz Nikli - Fitte moun tussi ithe vi aa gaye :p
(not to be taken seriously :p)
 
jab tumari yaad aati hai mera hosh jatey hai. jab tum saamne aati ho dum nikal jata hai. arey deoderant laney se tumhara kya jata hai:p
 
:salamext:

Come on you brothers! Sharam nahin aati aisee baat karte huey?!
 
:sl:
Can one of you kind folk translate this into anglais:
"terno mi ki akarsi uss din?"

Some weirdo put it on my website's guestbook, and I honestly do not know what it means.

I apologise if this is in the completely wrong section.
 
:sl:

Yeh Khamoshi Kanhan Taak, Lazzat e Fariyad Paiyda Kar
Zameen Per Tuo Ho, Teri Sadda Ho Aasmanoo Main


:w:
 
Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge
Har Ghum Mein Uska Saath Ho....
Yeh Zaroori To Nahi....




Yoon To Woh Bohat Wafashaar Hain Magar Phir Bhi
Har Kadam Pe Wafa Karein...
Yeh Zaroori To Nahi....




Hosle Aur Bhi Bhar Jainge Shikast K Baad
Jeet Yahan Sada Hamari Ho...
Yeh Zaroori To Nahi...




Shiddat-e-Ghum Mein Insaan Ro Bhi Daita Hai
Samne Uska Aanchal Ho...
Yeh Zaroori To Nahi ..



Nazrain Thi Buss Kya Karti Pathar Ho Gayeen
Uske Baad Kisi Aur Ko Dekhein...
Yeh Zaroori To Nahi...




Hum Ne Hamesha Usse Dil se Chaaha
Woh Bhi Hamain Chahe Dil se...
Yeh Zaroori To Nahi


 
:sl:

Iqbal ka tarana Bangah Dar'a hay goya
hota hay jadoo peyma bher karvaan hamara


:w:
 
:sl:

kitaben khuli ho ya ho bandh
padhaai last night hee hoti hain
kaise kahun main o yaara ye
engineering aise hee hoti hay


:w:
 
:sl:

Khudi say hay Mard e Khud Agah ka Jalal O Jamal
Kah yeh Kitab hay Baqi Tamaam Tafseeyrain


:w:
 
:sl:


shaayad ke zameeN hai wo kisi aur jahaaN ki
tu jisko samajhta hai falak apne jahaaN ka


har muqaam se aage muqaam hai teraa
hayaat zauq-e-safar ke siwaa kuch aur nahin


rangon mein gardish-e-KhuuN hai agar to kya haasil
hayaat soz-e-jigar ke siwaa kuch aur nahin


:w:
 
sitaroon sey aagey jahaan aur bhe hein,
abhi ishq key imtihaan aur bhe hein.
teri zindegi sey nahi yeh fazayein,
yahan seinckroon karwaan aur bhe hein,
qana'at na ker alam-e-rang-o-bu per,
chamen aur bhe,aashiaan aur bhe hein,
agher koi gaya ek nasheman tau kia gham,
mukamat-e-aaho faghan aur bhe hein,
tu shaheen hey, perwaz hey kam tera,
terey samney aasman aur bhe hein,
isi roz-o-sheb mien ulajh ker na reh ja,
key tere zaman-o-makaan aur bhe hein,
gayey din key tenhaa tha mey anjumen mien,
yahaan ab merey razdaan aur bhe hein..
 
:sl:

Kafar hai tu shamsher pe kerta hai bharosa
Momin hai tu be taigh bhi larta hai spahi


Nikli tu labe Iqbal se hai kia janiy kis ki hai ye sada
Pegham-e-sakoon puhncha bhi gai dil mehfil ka terpa bhi gai


Gharib-o-saada O rangeen hai daastan-e-Haram
Nihayat is ki Hussain ibtda hai Ismail...


Sidq-e-Khalil bhi hai Ishq Sabar-e-Hussain bhi hai Ishq
Marka-e-wojood mai Badar-o-Hunain bhi hai Ishq


:w:
 
:sl:


sham se lekar po phatne tak kitni ruten guzarti hain
aas ki aandhi,yas ki patjhad,subh ke ashko ki barsat
 
suna Hay Loog Usay Ankh Bhar K Daykhtay Hain
So Us K Shahr May Kuch Din Tahar K Daykhtay Hain
suna Hay Rabt Hay Us Ko Kharab Haloon Say
Soo Apnay App Ko Barbad Kar K Daykhtay Hain
suna Hay Dard Ki Gahak Hay Chshmay Naz Us Ki
Soo Hum Bhi Us Ki Gali Say Guzar K Daykhtay Hain
suna Hay Us Ko Bhi Hay Shairo Shairi Say Shgaf
Soo Hum Bhi Mojzay Hunar K Daykhtay Hain
suna Hay Bolay Too Baton Say Phool Jhartay Hain
Ya Baat Hay To Chaloo Baat Kar K Daykhtay Hain
suna Hay Raat Usay Chand Takta Rahta Hay
Sitaray Bamay Falak Say Utar K Daykhtay Hain
suna Hay Din Ko Usay Titliyaan Satati Hain
Suna Hay Raat Ko Jugnoo Tahar K Daykhtay Hain
suna Hay Hasher Hain Us Ki Gazal Si Ankhain
Suna Hay Us Ko Hirn Dasht Bhar K Daykhtay Hain
suna Hay Raat Say Barh Kar Hay Gaglain Us Ki
Suna Hay Raat Ko Sayay Guzar K Daykhtay Hain
suna Hay Us Ki Siya Chashmagi Kiyamat Hay
Soo Us Ko Surma Faroosh Aah Bhar K Daykhtay Hain
suna Hay Us K Laboon Say Gulaab Jaltay Hain
Soo Hum Bahar Pay Ilzam Dhar K Daykhtay Hain
suna Hay Aaina Tamsaal Hay Jabeen Us Ki
Jo Sada Dil Hain Usay Ban Sawar K Daykhtay Hain
suna Hay Jab Say Hamayil Hain Us Ki Garden May
Mizaj Or Hi Lalo Gohar K Daykhtay Hain
suna Hay Chshmay Tassver Say Dashtay Imkaan May
Palang Zawiyay Us Ki Qamar Daykhtay Hain
suna Hay Us K Badan Ki Tarash Aisi Hay
K Phool Apni Qubain Qutar K Daykhtay Hain
wo Saroo Qad Hay Magar Bay Gullo Muraad Nahi
K Us K Shajar Pay Shagoofay Samara K Daykhtay Hain
bas Aik Nigha Say Lut Ta Hay Qafla Dil Ka
Suna Hay Rah Rawan-e-tamnna Bhi Dar K Daykhtay Hain
suna Hay Us Kay Shabistan Say Mutsil Hay Bahshat
Makeen Udhar K Bhi Jalway Idhar K Daykhtay Hain
rukay To Gardishay Us Ka Toaaf Karti Hain
Chalay To Us Ko Zamanay Tahr K Daykhtay Hain

Kisay Naseeb K Bay Payrhaan Usay Daykhay
Kabhi Kabhi Daroo Dewaar Ghar K Daykhtay Hain
khaniya Hi Sahi Sab Mubalgay Hi Sahi
Agar Wo Khawaab Hay Tabeer Kar K Daykhtay Hain
ab Us K Shahr May Tahray K Kooch Kar Jay
Faraz Aoo Sitaray Safar K Daykhtay Hain
 

Similar Threads

Back
Top