Urdu Latife (Urdu Jokes)

  • Thread starter Thread starter *muslimah*
  • Start date Start date
  • Replies Replies 558
  • Views Views 330K
Ustaad (shagird se): Agar tumhare abbu ko 3000 rupe ki zarurat ho aor main unhen 5000 ka note dun tao baqi kitne milen ge?

Shagird: Zero

Ustaad: Hisaab nahin jante?

Shagird: Aap mere abbu ko nahin jante.
 
;D
Nice Jokes.Thanks!

ek aadmi raat ko 3 baje utha... Or...

Tahajjud parhne k bad dua mangte waqt bola,,,

mere mola sab soo rahe hain or main teri ibadat kar raha hoon,,,

to saath wali charpai se aawaz ayi " tu apni dua maang,,

humari shikayat kio kar raha hai ???"
 
Pg2505.gif

Pg2506.gif

Pg2507.gif

Pg2509.gif
 
Last edited by a moderator:
Bohot mazahiya lataif hain.

Faqeer (dookandar se): Allah ke naam pe aik rupeyah de do.

Dookandar: Baba kal ana.

Faqeer: iis kal kal ke chakkar mein mere iis bazaar mein lakhon rupe phanse huwe hein.

:p:
 
Mareez ne achanak aankhen kholte huwe kaha

"Doctor Sahib, kiya mera operation kamyaab raha?"

"Sabar se kaam lo beta. Main doctor nahin FARISHTA hoon"
 
Re: Lateefay

ek buhut moti aurat ke ghar chor aya
uss ne chor ko dekha tou usko pakar kar uske ooper bait gayee. shohar ko kaha jaldi jayey police ko bulayey.
shohar ne kaha wohi karney laga hon par meri jooti nahi mill rahi.
chor : "meri pehen le par Allah ke banday jaldi jaa".
:giggling:
 
Aik molvi sahib aik khatoon se takra gae.

Khatoon: Aap ko sharam nahi aati. Itni lambi darri rakh kar auraton ko takren marte phir rahe hain?

Molve Sahib: Mohtarmah, yeh darri hai, break nahi.

:p
 
^shukriya

Himaliya

Ustaad: Batao Himaliya kahan hai?

Shagird: Sir, mujhe nahi pata! :hmm:

Ustaad: Bench par khare ho jao :anger:

Shagird: Wow keya bench se Himaliya nazar aa jayega Sir? :confused::ooh:

;D:hmm:
 
tujh ko dekha tho ye khyaal aya....
tujh ko dekha tho ye khyaal aya....
tujh ko dekha tho ye khyaal aya....
tujh ko dekha tho phir ye khyaal aya....

ke mere dil main aisa khyaal kyun aaya
 
^shukriya

Himaliya

Ustaad: Batao Himaliya kahan hai?

Shagird: Sir, mujhe nahi pata! :hmm:

Ustaad: Bench par khare ho jao :anger:

Shagird: Wow keya bench se Himaliya nazar aa jayega Sir? :confused::ooh:

;D:hmm:

:sl:

lol..

Kahein wo shagird tum tu nahein thein??? :p

:wa:

Khawand: Begum! Tumhari gardan par ajeeb si cheez lagi hue hai jise dekh kar khaof aata hai.

Begum (dar kar):
Woh kiya?

Khawand: Tumhara moon......!

:D

:sl:

Astaghfirulllaahh!!!

Made me --->>> LOL

Butot hee mazay kaa hai....lolzzz

:wa:

Ustaad (shagird se): Agar tumhare abbu ko 3000 rupe ki zarurat ho aor main unhen 5000 ka note dun tao baqi kitne milen ge?

Shagird: Zero

Ustaad: Hisaab nahin jante?

Shagird: Aap mere abbu ko nahin jante.

Aik molvi sahib aik khatoon se takra gae.

Khatoon: Aap ko sharam nahi aati. Itni lambi darri rakh kar auraton ko takren marte phir rahe hain?

Molve Sahib: Mohtarmah, yeh darri hai, break nahi.
Originally Posted by mercurial
bohot mazahiya lataif hain.

faqeer (dookandar se): allah ke naam pe aik rupeyah de do.

dookandar: baba kal ana.

faqeer: iis kal kal ke chakkar mein mere iis bazaar mein lakhon rupe phanse huwe hein.
LOLzzzz

Bhai mercurial...shukria..
 
Last edited by a moderator:
Aik qasaab ne subha subha junhi dookan kholi aik andha chala aaya. Bakri ke gosht par hath rakh kar bola "Yeh bakri ka gosht hai." Phir gaae ke gosht par hath rakh kar bola "Yeh gaae ka gosht hai."

Qasaab bohot hairaan huwa. Lutf lene ki gharz se andhe ka hath apne barhna kandhe par rakh kar bola "Yeh kis cheez ka gosht hai." "AAP GADHE KA GOSHT BHI BECHTE HAIN," andha hairat se bola.
 
Astaghfirullaah!! lolzzzzz

Shukria!!
 
شادی میں کھانا کھلا
سردار کو پلیٹ نہیں ملی
تو وہ اپنی جھولی میں کھانا ڈالنے لگا
تو لوگوں نے پوچھا کہ یہ کیا
سردار: داغ تو چلا جائے گا یہ وقت پھر نہیں آئے گا
 
Similar Threads

Back
Top