Urdu General

  • Thread starter Thread starter Beardo
  • Start date Start date
  • Replies Replies 741
  • Views Views 158K
sorry ab mai school me nahi hun..
aap vese har namaaz ke baad Allaah ke naam le kar dua kare, achhi baat hai..

magar jab tak aap ko koi daleel nahi milti, behtar hai ke aap specific numbers mei na padhe..
 
Sister muslim haya
maine suna hai ki sare jahan se achcha "jo allama Iqbal ka likha hua hai..woh India ka national anthem banne wala tha lekin kiyonki INDIA pakistan ke batware ke waqt woh Pakistan chale gaye Isliye unke geet ko nahi banaya gya ki bad me controversy hoti ki yaha ka national anthem likhne wala yaha ko chod kar pakistan chala gaya jo ke hamarre dushman mane jate hai..Ap ko kuch pata hai is bare me

Allama iqbal ka intiqal=1938
taqseem e hindustan= 1947
^o)

waisay mujhay is baray kuch maloom nahi laikin ho sakta hay is ki wja yehe rahi ho k Allama iqbal tehreek e pakistan k zaberdast hami thay..

Sach kahun to India ka National anthem India ke logo ko samajh me hi nahi aata kiyonki woh Bengali language me hai.Sirf bengal state walon ko hi samajh aata ho ga

mujhay ye baat maloom nahi thi... may nay bharat ka qomi tarana suna hay per mujhay to hindi ati nahi islie maira khayal tha k hindi hi hogi..


Kiyon yahan to waise bhi sab english me likhte to hain tab kuch nahi.Aur jab mai likhne ki baat ki to wah problem.
SAFIYA mujhe topic do .


daikhain daikhain ye usool ki baat hay.. angraizee bolnay or likhnay k liye yahan bohot saray dusray threads mojood hain.. app is becharay aklotay urdu general ko urdu seekhnay walon k liye hi rehnay dain... app kahain to may app ko un threads tak pohoncha daitee hn jahan app dil khol k angraizee bolnay or likhnay say lutfandoz ho sakti hain....


Pakistan bohot yaad aa raha hai... esp vaha ke jaman aur false... aur imli

soooo sweet n sour and delicious. imsad

mujhay bhi...!!! :( ah... khubsurat mosaam..!! subha ki thandi hawaain..!! halki halki barish...!! aaam..!! leechi..!! cherry...!! jaman..!! falsay..!! uff ajkal to her taraf phal hi phal thay...:(
 
Barsat ka mausam ka toh nahi pata ajkal toh bohot garmi hogi...

garmi...??? aray behna wahan to barsaat ka mosaam hay.. kahinn zor dar barish to kahin halki halki phohar or kahin barish ki amad amad hay... itnaaaaaa zaberdast mosam ho rha hay.....!!!!
 
aur yeh mendak kahan se agaye? :S
lol vaha to bohat hai.. sometimes u find them fallen in the outside toilets trying to swim out. :D

jee zaroor.
jiss tarha shakr se chai meethi hoti hai, uss tarha shukr se zindagi meethi hoti hai. :D



garmi...??? aray behna wahan to barsaat ka mosaam hay.. kahinn zor dar barish to kahin halki halki phohar or kahin barish ki amad amad hay... itnaaaaaa zaberdast mosam ho rha hay.....!!!!
aray basssss karo :(
 
Last edited:

garmi...??? aray behna wahan to barsaat ka mosaam hay.. kahinn zor dar barish to kahin halki halki phohar or kahin barish ki amad amad hay... itnaaaaaa zaberdast mosam ho rha hay.....!!!!

Ahh, mujhey Pakistan mai baarish acchi nahi lagti, actually acchi lagti hai lakin haar jaga paani baahr jaata hai! which is so annoying! Kahin bahar nahi jaa saktey bas chaath(roof) per jaa saqtey hai :p:



jiss tarha shakr se chai meethi hoti hai, uss tarha shukr se zindagi meethi hoti hai. :D


so true ! imsad
 
Allama iqbal ka intiqal=1938
taqseem e hindustan= 1947
waisay mujhay is baray kuch maloom nahi laikin ho sakta hay is ki wja yehe rahi ho k Allama iqbal tehreek e pakistan k zaberdast hami thay..
Meri history bahot kamzoar hai..pata nahi kis bewaqoof ne mujh se kaha tha..
maine net pe search kari to mila ki Iqbal received his early education in the traditional maktab. Later he joined the Sialkot Mission School, from where he passed his matriculation
examination. In 1897, he obtained his Bachelor of Arts Degree from Government College, Lahore. Two years later, he secured his Masters Degree and was appointed in the Oriental College, Lahore, as a lecturer of history, philosophy and English. He later proceeded to Europe for higher studies. Having obtained a degree at Cambridge, he secured his doctorate at Munich and finally qualified as a barrister.
Shayad unhone apne Degree lahore pakistan se li thi..isliye
Mujhe kisi paidaish aur intiqal kabhi yaad nahi rehte..mujhe HITORY subject bilkul pasand nahi tha
daikhain daikhain ye usool ki baat hay.. angraizee bolnay or likhnay k liye yahan bohot saray dusray threads mojood hain.. app is becharay aklotay urdu general ko urdu seekhnay walon k liye hi rehnay dain... app kahain to may app ko un threads tak pohoncha daitee hn jahan app dil khol k angraizee bolnay or likhnay say lutfandoz ho sakti hain....

kahan hai...aisa forum jahan meri English padhne ke baad woh mujhe urdu me jawab de batao..NAHI TO INDIA VS PAKISTAN JANG HOGI
magar jab tak aap ko koi daleel nahi milti, behtar hai ke aap specific numbers mei na padhe..

kya sach me specific number me padhungi to kuch nuqsan hai kya?mujhe dar lag raha hai..
jaman kya hai??kya aap jamun ki baat kar rahi hai..

....
Itne sare pakistani IB par hai mujhe pata hi nahi tha..
..
Achcha chalo ye batao ye koi pakistani ladki ne mujh se kahi thi kuch ajeeb si urdu thi"Bonat bechan ,match kab shuroo honga"
 


kahan hai...aisa forum jahan meri English padhne ke baad woh mujhe urdu me jawab de batao..NAHI TO INDIA VS PAKISTAN JANG HOGI


g nahi yahan koi jang nahi hogi.. ye koi larai ka ukhara nahi hay... ham sab muslman hain.. may bas itna keh rahi hn k chu k is thread ka maqsad urdu seekhna bolna waghaiar hay islie ager ap ko angraize seekhne hay to us k iye app dusra thread bana lain..

ham behes kertya kertay ye to bhul higaye k hamaree shagird(missy behna) pta nahi kahan gum ho gaen..:(
 
kya sach me specific number me padhungi to kuch nuqsan hai kya?mujhe dar lag raha hai..

specific number mei padhne ke liye daleel chahi he.. varna bidat mei girne ka dar hai... aur uss ka nuqsan hi nuqsan hai..

Rasool Allaah :arabic5: ye dua padha karte the..

"Allahumma `afini fi badani, Allahumma `afini fi sam`i, Allahumma `afini fi basari, laa illaaha illa anta" (Ya Allah, afiyat de mere jism mei, Ya Allaah afiyat de mere sunaiy mei, Ya Allaah afiyat de mere aankho mei, nahi koi khuda savai tere)

sorry about my transliterations.. :p
 
specific number mei padhne ke liye daleel chahi he.. varna bidat mei girne ka dar hai... aur uss ka nuqsan hi nuqsan hai..
mujhe samajh me nahi aya??matlab agar kuch specific number me padhi to bidat hai ya nahi padhi to bidat hai..
..
Achcha taveez pehanna bhi bidat hai.par agar haum kisi se ye bat kahe to woh kahenge ki apne man se kuch bhi rule banaya liya hai tum logon ne.Ye hamare maulana ne hame di hai aur hum se aur tum se zayada jante hai.unhe hame kya jawab dena chahiye??
 

ham behes kertya kertay ye to bhul higaye k hamaree shagird(missy behna) pta nahi kahan gum ho gaen..:(

:sl:
actually mai bohot busy hu...isliye mai IB par do teen din nahi aayi...
pata nai ab kab time milega..lekin agar mila toh mai InshaAllah zaroor aogi...aap sab mujhe apni duas mai yaad rakhna..

ttfn
Allah Hafiz
:wa:
:)
 
^Mera bhi yahi hal hai :(.

ab safiya tum mujhe koi topic do mai us par English me likhungi

Bohot der ho gayi. Internet connection nahi chal raha tha. Mein aap ke liye Urdu section mein ek dusra section bana rahi ho :).
 
The Light
ya nooru ka matlab light exactly nahi ho sakta..matlab mujhe exactly English me usko describe nahi kar sakti .noor matlab jo spiritual kuch light related .pata nahi Arabic me shayad light ho lekin urdu me use ko raoshin=light
 

mujhe samajh me nahi aya??matlab agar kuch specific number me padhi to bidat hai ya nahi padhi to bidat hai..

If a person reads it a specific number of times (e.g. 11), n they think it is part of the religion to read it that many times, to phir ye bidat hai.

unless ke koi hadith mei sabit hua hai ke nabi :arabic5: 11 times padhte the..

aap vese Allaah ke naam le kar duaa kare, as many times as u want.. that is recommended ! :)

Achcha taveez pehanna bhi bidat hai.par agar haum kisi se ye bat kahe to woh kahenge ki apne man se kuch bhi rule banaya liya hai tum logon ne.Ye hamare maulana ne hame di hai aur hum se aur tum se zayada jante hai.unhe hame kya jawab dena chahiye??
aap bidat ki baat kar rahi hai, taveez pehanna to shirk hai. If the taveez contains other than the Quraan or duas narrated from the Prophet :arabic5:, then there is consensus of the scholars that it is haram and constitutes shirk.

But, if the taveez has Quraan or duaas of Prophet :arabic5: then there is difference of opinion, but... stronger opinon says: not allowed ! It can lead to shirk.

vese bhi ikhtilaafi maslo mei... be on the safe side ! :)

Also, doctor jab nuskha deta hai.. apni bemaari door karne ke liye ham vo nuskha kholte hai, padhte hai, samajte hai, jo doctor ne likha hua hai.. us par amal karte hai. Nuskha gale mei to nahi baand te na?

Isi tarha, Qur'aan bhi aik nuskha hai.. hamari jismaani, roohani, falani bemaario ka ilaaj hai. Gale mei baandne ke liye nahi, magar padhne, samajne, aur amal karne ke liya hai. tht is the only way to protect ourselves, n.. solve our illnesses & problems. :hmm:

so, tell them: behre, goonge, andhe kise ki baat nahi sunte.. esp wen there are clear proofs against what u are practicing.

But use a more tactful way of explaining (not like me). Bare hikmat aur khoooobursat tareeke se batana hai.. aur phir,

jab maar padhe gi... Sabr karna hai. :D
 
Ye kya??
Career for women me mai post karna chahti thi to woh nahi ho raha hai?kiyon?
Aur ye kya naya tamasha mujhe user name change karna hai?change nahi ho raha..185 days kya hai.mujhe abhi ke abhi change karna hai.
 

Similar Threads

Back
Top